Bareilly: Sunni Barelvi Muslim ulama ke ek group ne apne ilaqay mein shehrioun mein Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) aur National Register of Citizen ( NRC ) ki khamioun ke baaray mein logoun mein shaoor ujagar karne ka faisla kiya hai.
Is baaray mein ye faisla is waqt liya gaya, Jab Jamat Raza-e-Mustafa ke wafad ne bareilly mein Molvioun, Qhazioun aur shehrioun se mulaqaat ki aur un se ”jab tak hukoomat Rollback ka elaan nahi karti, Tab tak pur aman ahtejaj “karne darkhwast ki“.
Jamat Raza-e-Mustafa ke qaumi sadar, Salman Hasan Khan ne media numaindoun ko bataya ke ”hamare wafad ne Shaheen Bagh, Jamia Millia Islamia aur Jawaharlal Nehru University mein muzahireen se mulaqaat ki aur shehar ke Qhazioun ke sath ek ijlaas bhi munaqqid kiya“.
Unhoun ne kaha ”chunke shehri Qaazi apne apne ilaaqoun par ghalba rakhtay hain, Ye faisla kiya gaya hai ke wo awam ko CAA aur NRC ki kamiyoun aur kotahioun ke baaray mein bitayen ge. Ham chahtay hain ke loog pooray mulk mein CAA aur NRC ke khilaaf pur aman ehtijaj karen.
Unhoun ne mazeed kaha ”hamen khadsha hai ke muqami ohdedaroun ke zareya National Population Register ( NPR ) mashq ke douran, Shukook o shubhat’ shehrioun ki nishandahi ki jaye gi, Jo logoun ki ek baday tadaad ko is zamray mein daal satke hain.
Maulana Ikram Raza Khan, Jo Jamat Raza-e-Mustafa wafad ka bhi hissa they, Ne kaha, Hum mulk bhar mein apne par aman ehtijaj mein shiddat layein ge, Taakay hukoomat par CAA aur NRC ko wapas lainay ke liye dabao dala jasakay“.
Idhar, Jamat Raza-e-Mustafa ke ek wafad ne charshumbe ke roz Mumbai mein Maharashtra ke wazeer aala Uddhav Thackeray se bhi mulaqaat ki aur CAA, NRC aur NPR ko mustard karne ki darkhwast ki.
Sunni Bareilly aalam Asjad Raza Khan ne guzashta mah jari kardah apne bayan mein kaha tha ”Ye Hindu Muslim maamla nahi hai, Balkay mulk ke ayeen ke baaray mein hai. Mulk sirf aeen ke zareya chalaya ja sakta hai, Aamriyat se nahi. Jo loog NRC aur CAA ke khilaaf ehtijaj kar rahay hain, Wo qabil sataish hain. Khamosh ehtijaj hamara haq hai. –YTN STAFF