Monday, April 21, 2025
HomeIndia3 Darulhukomtoun ke khilaaf kisanoun ka ehtijaj jari

3 Darulhukomtoun ke khilaaf kisanoun ka ehtijaj jari

Amravati: Andhra Pradesh ke dar-ul-hukoomat ke tour par Amravati ko hi barqarar rakhnay ka mutalebah karte hue Amravati ke 29 dihatoun ke kisanoun aur khawateen ne apna ehtijaj jari rakha. Thullur, Mandadam ke kisanoun ne zanjiri bhook hadtaal ki. Khawateen aur Kisanoun ne mutalba kiya ke Chief Minister Jagan Mohan Reddy fori tor par ohda se mustafi ho jayen.

Un kisanoun aur khawateen ne hathoun mein placards thaam kar hukoomat ke khilaaf naaray baazi ki. Mandadam ke bhook hadtali camp ke qareeb kisanoun ne media se baat karte hue kaha ke is bill ki manzoori ke khilaaf wo adalat se rujoo hon ge. Unhoun ne kaha ke kisanoun ki raye haasil kiye baghair riyasat mein 3 darulhukomtoun ke qiyam ki reyasti kabeena ne manzoori di. Kisanoun ne siyah parcham ke sath bhi ehtijaj kiya. Un ki himayat baaz siyasi jamaatoun ke leadran, Awaami numaindoun aur aawami tanzeemoun ne ki.

Un kisanoun ne mutalba kiya ke 3 darulhukomtoun ki tajaweez se fori dast bardari ikhtiyar ki jaye aur un ke sath insaaf kiya jaye. Kisanoun ne kaha hai ke Amravati mein Infrastructure tayyar hai aur 3 darulhukomtoun ki koi zaroorat hi nahi hai. Kisanoun ne wazeh kiya ke un ko ek hi dar-ul-hukoomat chahiye jis ka wada reyasti aur markazi hukoomatoun ne un ki arazyat naye dar-ul-hukoomat ki taamer ke liye letay waqt kiya tha.

Unhoun ne kaha kay jab hukoomat ne Amravati ko dar-ul-hukoomat bananay ka elaan kiya tha to is waqt ki opposition YSR Congress party ne bhi is ko qubool kiya tha aur is par koi aitraaz nahi kiya tha taham ab YSR Congress siyasi faida uthane ke liye tamam ilaqa mein ishtial angazi ko hava day rahi hai. –YTN STAFF