Hyderabad: Communist party of India ( CPI ) ko shehriat tarmeemi Act ke khilaaf munaqqid honay walay awaami jalsa ko, Police ki janib se jalsa ki ijazat dainay se inkaar karne par mansookh karna pada. Is awaami jalsa mein jawaharlal Nehru university ( JNU ) ke Students Union ke sabiq sadar Kanhaiya Kumar shirkat karne walay they.
Mehdipatnam ke ek function hall, Crystal Garden mein, Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) aur National Register of Citizenship( NRC ) aur Nationa Population Register ( NRP ) ke khilaaf ijlaas munaqqid kiya gaya. CPI ki Hyderabad Unit ko aakhri lamhay mein ye ijlaas mansookh karna pada, Kyunkay police ne ijazat nahi di thi. Agar chay ke police ne party rehnumao ko ijlaas se inkaar ke barey mein mutala nahi kiya hai, Lekin unhoun ne function hall ke intizamia ko ijlaas ke liye intizamaa nah karne ki hidayat ki thi.
CPI Hyderabad ke secretary E. T. Narasimha ne bataya ke wo police ki janib se awaami jalsa ki ijazat nah dainay ke muamlay ke khilaaf high court se rujoo hon ge. CPI ke qaumi secretary ke Narayana aur sabiq rukan parliament Syed Aziz Pasha, Kanhaiya Kumar ke sath jalsa ko mukhatib karne walay they. Aziz Pasha ne awaami jalsay ki ijazat dainay se inkaar par police ki sakht muzammat ki.
Unhoun ne ilzaam lagaya ke police afsaraan Telangana Rashtra Samithi ( TRS ) hukoomat ki aima par amal pera hain. CPI rehnuma ne kaha ke police par aman jalsoun ki ijazat se inkaar karkay jamhoori hak ko pamaal kar rahi hai. CPI rehnuma ne herat ka izhaar kiya ke kuch groupoun ko muzahiray karne ki ijazat kyun di ja rahi hai. Unhoun ne yaad dilaya ke police ne baen baazu ki jamaatoun ko pichlle mah muzahiray ki ijazat se inkaar kar diya gaya tha.
Markazi oppostion jamaat congress ko bhi CAA ke khilaaf ehtajaji rally nikaalte ki ijazat se inkaar kar deya. Is ke rehnumao ne Hyderabad police commissioner Anjani Kumar ke mutassbana sulooq par governor Tamilsai Soundararajan se shikayat ki thi. Oppostion jamaatoun ne ilzaam lagaya ke sirf AIMIM ko ehtajaji March karne ki ijazat di gayi hai, Kyunkay ye hukmran jamaat ki ittihadi hai. Wazeh ho ke, Majlis ne 10 January ko Tiranga March ka ineqad kiya. Aur is ne 25 January aur 30 January ko mazeed ehtijaj ka elaan kiya hai. –YTN STAFF