Saturday, July 5, 2025
HomeJurmHammas ke 9 ahdaaf par Israeli fazai hamlay

Hammas ke 9 ahdaaf par Israeli fazai hamlay

Israeli fouj ke bayan ke mutabiq yeh karwai Israel ki janib aatishgeer kaghazi tayyaray daaghe janay ke jawab mein samnay aayi hai. Bayan mein yeh wazeh nahi kya gaya ke aaya fazai hamlon mein koi jani nuqsaan huwa ya nahi.

Israeli ladaaka tayyaron ney peer ke roz Gaza patti ke shumal mein Hammas tanzeem ke askari ahdaaf par 9 hamlay kiye. Israeli fouj ke bayan ke mutabiq yeh karwai Israel ki janib aatish geer kaghazi tayyaray daaghe janay ke jawab mein samnay aayi hai. bayan mein yeh wazeh nahi kya gaya ke aaya fazai hamlon mein koi jani nuqsaan huwa ya nahi. yaad rahay ke patharon ke baad aatish geez kaghazi tayyaray 30 March ko shuru honay walay Palestenians ke ehtajaji silsilay ki alamat ban gaye hain. Gaza patti aur Israel ke darmain sarhad par honay walay un muzahiron ka maqsad Falasteeni panah gazinon aur be ghar afraad ki wapsi ke haq ka mutalba karna tha. Israeli fouj ney hafta ke roz do Palestenians ko zakhmi kar diya tha jo aatish geer ghubaare bhejnay ki tayari kar rahay they. Al Arabia ke numainda ney peer ki subah bataya ke Gaza patti ke nazdeek yahodi bustiyon mein khatray ke syren bajaye gaye .
Israeli fouj ka kehna hai ke is ney Gaza patti se daaghe janay walay teen rakton ka pata chalaya jin mein aik Gaza patti ke andar hi gir gaya. deegar do rakton ke girnay ki jagah nahi batee gayi. yaad rahay ke 30 March se Gaza patti ki sarhad par honay walay ehtajaji silsila ke douran Falasteeni nojawanon ney muzahmat ka aik naya tareeqa apnaya hai. is ke tehat kaghazi tayyaray aatish geer mawaad le kar jatay hain. un ki madad se petrol bomb bandh kar Israeli yahodi bustiyon mein phainky jatay hain. Israeli fouj is naye tareeqa car se nimatnay mein nakaam nazar aati hai. 30 March se Gaza patti par shuru honay walay awaami muzahiron mein kam azkam 120 Falasteeni maaray gaye. Israel ney jis par halakat khaiz hathiyar istemaal karne par aalmi satah par muzammat ki jarahi hai, kaha ke awaami muzahiron ke douran Israeli fojion ke hathon mein halaak honay walon mein ziyada tar Hammas ke arkaan they, jinhein woh dehshat gard qarar deta hai. Palestenians ka kehna hai ke sho-hada aur hazaron zakhmion mein beshtar ghair musallah aam shehri they jin ke khilaaf Israeli ney jarehana karwai ki hai. tang sahili mahsor patti mein zayed az  20lakhs Falasteeni aqal tareen zaroriat zindagi ke baghair zindagi guzarnay par majaboor hain jinhein aalmi imdaad bhi nahi poanch paati hai.