Wednesday, May 14, 2025
HomeIndiaLPG ki qeematoun mein izafay ke khilaaf Congress ka ehtijaj

LPG ki qeematoun mein izafay ke khilaaf Congress ka ehtijaj

New Delhi: Delhi Congress ghair Subsidy walay LPG gas ki qeematoun mein ezafe ke khilaaf jumaraat ko yahan Petroleum Ministry mein ehtijaj kiya. Delhi ke sabiq wazraa sameit Congress ke mutadid kaarkunon Petroleum Ministry ke qareeb waqay Shastri Bhawan ke bahar naaray lagaye.

February mein hone walay Assembly intikhabaat ke pesh e nazar, Congress LPG ki sharah mein izafay ke muamlay par Bhartia Janta Party ko ghairne ki koshish kar rahi hai.

Sabiq rukan parliament Sandeep Dikshit  ne kaha ”jab aap har din petrol aur diesel ki qeematoun mein izafah kar rahay hen, To aap hukoomat se ye kam se kam tawaqqa kar satke hain. Pyaaz ki qeematein bhi badh rahi hain, Lekin Narendra Modi hukoomat aur BJP fikar mand nahi hin“.

Charshumbe ke roz, LPG ki qematoun mean ezafe par margazi hukoomat ko tanqeed ka nishana banatay hue Congress ke tarjuman Sushmita Dev  ne kaha ke saal ke pehlay din hukoomat ne logoun ki jiben lout len. Unhoun ne kaha ke hukoomat ko un logoun ki fikar nahi hai. Jo berozgari aur pyaaz aur daaloun ki badhti qeematoun ki wajah se mushkil waqt ka saamna kar rahay hain. Unhoun ne kaha ”Loogoun ko tawaqqa thi ke hukoomat naye saal par kuch raahat pohanchayegi, Lekin is ke bilkul baraks huwa“.

Congress ke tarjuman Randeep Singh Surjewala ne Twit kiya ke ”Naye saal mein, Mehengai par Modi hukumat ka pehla tohfa’ Gharelo Gas Cylinder ki qeemat mein 19 rupiye izafah kiya gaya, Tijarti gas Cylinder mein 29.50 rupiye. 5 mah mein kol qeemat mein 137 rupiye ka izafah. Badhti afraat zar gharanoun ke liye ek masla hai, Lekin BJP is ke fakhr se dochar hai. –YTN STAFF