Monday, April 21, 2025
HomeSliderTalaq dainay ke baad biwi ko bandariya keh kar mukhatib karne walay...

Talaq dainay ke baad biwi ko bandariya keh kar mukhatib karne walay par bhaari jurmana

Dubai: Biwi ko talaq dainay ke baad Social Media par ek sheri takhleeq mein usay bandariya keh kar mukhatib karne par adalat ne mulzim ko 20 hazaar ka jurmana aayed kardiya aur kaha ke sabiq shohar ne khatoon ki tazleel ki hai.

Tafseelaat ke mutabiq mutalqa khatoon ko bandariya kehnay par mutahidda Arab Emarat ki adalat ne shehri ko saza sunadi hai. 1 Arab shohar ne biwi ko Talaq dainay ke baad biwi ke khilaaf ek qasida tehreer kiya aur usay social media par shaya kar diya. Qaseede mein biwi ka mazaq udatay hue usay bandariya keh kar mukhatib kiya gaya tha.

Mutalqa se kaha gaya ke tum Bandarya hu aur bandariya mere ghar mein nahi reh sakti. Mere ghar se dafaa hojao. Appeal court ne mutalqa ko bandariya kehnay walay Emarati shehri ko 20,000 hazaar Dirham jurmane ki saza suna di hai. Adalat ne apne faislay mein wazeh kiya ke Emarati shehri ne social media par jo qasida jari kiya hai, Is se is ka maqsad apni mutalqa ki shanakht bigadna, Usay badnaam karna aur nuqsaan pahunchana tha.

Adalat ne 20 hazaar dirham jurmane ki saza ka juwaz bayan karte hue tehreer kiya ke Emarati shehri ne Whatsapp par is qisam ke paighamaat pey darpay jari kiye. Is ne Talaq ke baad saahil par sair sepate ke douran sabiq biwi ki video Clip aur tasaveer bhi social media par dalib then. Emarati shehri ne adalat poanch kar apna muaqqaf ye keh kar bayan kiya ke mein ne apni sabiq biwi ki koi be izzati nahi ki, Mein ne usay koi aisa pegham nahi bheja jis se is ki tazleel hoti ho.

Wakeel ne sara maamla adalat ke samnay rakh diya hai aur sath hi mutalqa ke khilaaf sabiq shohar ke wo paighamaat bhi pesh kardiye jin mein is ne apni mutalqa ke sath bad zubani ki thi. Adalat ke samnay ye baat rosin roshan ki terhan ayaan hogayi ke sabiq shohar ne apni mutalqa ke khilaaf bad zubani ki hai aur wo is ka mujrim hai. Emarati adalat ne mutalqa ko bandarya khene walay shohar ka mobile zabt karne, Adalat ka kharch ada karne aur wukla ki Fees pesh karne ka bhi hukum day diya. –YTN STAFF