New Delhi: Duniya bhar mein mohabbat ki nishani Taj Mahalki wajah se hindustan ki nah sirf ek behtareen shanakht hai balkay is tareekhi imarat ki wajah se hukoomat ko salana croredoun rupiyoun ki aamdani hoti hai lekin mutasib nazriaat aur tang zehniat ke seyasati leaderoun neTaj Mehal ko haliya dinoun mein ek mutanazia yadgar banane ki koshish ki hai jis khud hukoomat ko nuqsaan huva hai.
Modi hukoomat ki mutanazia policies ne hindustan ke shoba sayahat ko nuqsaan pohancha diya hai. America aur Bartania sameit saat mumalik ne apne shehrioun ko hindustan ka safar na karne ki hidaayat di hai jis ke baad 2 haftoun ke duran 2 lakh se zayed sayahTaj Mahal ka dora mansookh kar chuke hain.
Tafseelaat ke mutabiq muzahiroun se hindustan mein sayahat ko shadeed nuqsaan pouncha hai. 2 haftoun ke duran taqreeban 2 lakh sayah Taj Mahalka dora mansookh ya multawi kar chukay hain. Guzashta decemeber ke muqablay mein is saal sayaho ki tadaad mein 60 feesad kami aayi hai. Assam mein bhi ek seengh walay Gendoun ko dekhne ane walay sayaho ki tadaad 90 feesad kam hogayi hai.
Muzahiroun ki wajah se ab tak saat mumalik apne shehrioun ko hindustan ka safar nah karne ki hidaayat day chuke hain. Un mumalik mein America, Bartania, Roos, Israel, Singapor, Canada aur Taiwan shaamil hain. –YTN STAFF