Mogadishu: Somalia ke dar-ul-hukumat Mogadishu ke nawah mein ek masroof chaurahe ke qareeb Security Checkpoint par hue khud kash dhamakay mein 25 afraad halaak aur mutadid zakhmi hogaye. Sarkari tarjuman Ismael Mukhtaar Omar ne bataya ke khud kash hamla aawar ne Afgoye road par chocky par car bomb dhamaka kiya.
Omar ne kaha’ mein is baat ki tasdeeq kar sakta hon ke is hamlay mein 25 se ziyada afraad ki halakat hui hain. Unhoun ne mazeed kaha ke halaak honay waloun mein mutadid bhi talba shaamil hain.
Jaye waqaye par mojood ek police Afsar ne bataya ke dhamakay se sadak par waqay ek Tax office mein nishana banaya gaya. Jab afsaraan sadak se guzarnay wali karoun ki jaanch kar rahay they ke achanak ek Car phad gayi, Jis se halakten aur nuqsaan huva.
Is dhamakay ki kisi ne bhi zimma daari nahi li hai. Ittila ke mutabiq, Mogadishu ne askriat pasand tanzem Al shabab ki taraf se baar baar hamloun ka mushahida kiya hai. Jis ne 2012 mein Al Qaeda se bayet karne ka wada kiya tha aur wasti aur janoobi Somalia ke kuch hissoun ko control kiya tha. –YTN STAFF