New Delhi: Jamia Millia Islamia mein Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) ke khilaaf jari ehtajaji muzahiray 15 we din mein daakhil hue. Jis mein kuch talba bhook hadtaal mein baithy. Jamia ke mutadid talba aur khawateen sameit muqami afraad, Nojawan bachoun aur chhotay bachoun ke sath ehtajaji muzahiroun mein shareek rahay. Khawateen muzahiroun mein sab se agay hain. Lekin sawal ye hai ke, Jamia muzahiroun ka markaz kaisay bani?
Kayi talba ye chahtay they ke shehriat tarmeemi qanoon nafiz nah hon. Talba ne kaha ke ”Itwaar 15 decemeber ko police ki janib se talba ke khilaaf sakht karwai ki wajah se Jamia Milliya muzahiroun ka markaz ban gaya, Aur jab un talba ko mulk bhar ke talba o deegar logoun ki himayat haasil hovi, Aur un talba ke khilaaf police ki karwai ki mukhalifat ki gayi to ye ek ” silsela waar radd e amal“ ban gaya. Jamia ke kuch talba aur Jamia asatezah Association ne 13 decemeber ko ehtijaj ke liye pehla elaan kiya tha, Kyunkay is University mein talba Union nahi hai. Aur mukhtasir muzahiray ke baad sab par aman raha tha.
15 decemeber ko muqami rahaishioun ne ehtijaj ki thi aur ye markazi sadkoun par phelnay ke baad Jamia ke talba is mein shaamil hogaye, Lekin talba ne zor day kar kaha ke unhoun ne police se koi ladai nahi ladi aur ye jo tashadud huva, Is se talba ka koi lena dena nahi tha, Lekin police ne university campus mein daakhil hokar tabahi machadi. Unhoun ne un talba ko zado kob kiya jo ziyada tar Civil service mean dilchaspi rakhtay aur is tehreek ka hissa nahi they.
Aglay itwaar ke roz honay walay tashadud ke baad Shaheen Bagh ke logoun ne Noida Fareedabad Road bock kar diya. Aur ye ehtijaj University ke campus aur mulk ke mukhtalif hissoun mein dekha gaya, Jabkay UP mein ehtijaj par tashadud hogaya. Uttar Pradesh mein 15 se ziyada afraad ki mout ho chuki hai, Aur Manglore mein 2 ki mout hogayi hai. Mumbai mein bhi par aman ehtijaj huva. Wazeer aazam Narendra Modi aur wazeer e dakhla Amit Shah ne CAA ke muamlay par wazahat pesh ki hai, Lekin muzahireen CAA ke sath sath NPR ka bhi rule back chahtay hain. –YTN STAFF