Hyderabad. Aaj hindustan jis ehtijaj ki aag mein jal raha hai wo saari duniya par ayaan hai kisi ko is ehtijaj ki wajah ka taaruf pesh karne ki zaroorat nahi lekin is ke bawajood Delhi ke Shahi Imam ho ya phir dargaah Ajmeer Shareef ke sajjadah Nasheen Syed Zainulabedin Ali Khan ya phir BJP mein mojood naam ke muslim qaideen ke aisay bayanaat jo hindustanoun ko gumraah karne ke liye diye jarahay hain jabkay haqeeqat to ye hai ke CAB aur NRC ke zareya BJP hukoomat hindustan ki salamiyat ko todna chahti hai taakay wo apne 50 sala hukoomat karne ke mansoobay ko haqeeqat ka roop day sakay lekin hindustani awam ne is ke khawab ko chikna chor karne ka aaghaz kardiya hai.
Hindustan ke Iqtidaar par jab se RSS (Rashtriya Swayamsevak Sangh ) ke takhribi nazriya wali BJP ( Bhartia Janta Party ) ka qabza huva hai tabhi se mulk mein firqa parasti ko farogh dainay walay faislay, Bill aur qanoon manzar aam par aa rahay hain. Kehnay ko to BJP ki har policy muslim mukhalif hi nazar aati hai lekin haqeeqat ye hai ke firqa parastoun ke dushman number ek musalman zaroor hain lekin ye loog Dalit, Qabaili, Khatoon aur ghareeb ke bhi mukhalif hain. Hukoomat elania ye keh rahi hai ke mulk bhar mein Assam ki tarz par NRC ko nafiz kiya jayega aur is se pehlay CAB ( Shehriat Tarmeemi Bill ) laya gaya jo parliament aur sadar ki manzoori ke baad ab qanoon ( shehriat tarmeemi qanoon ) ban chuka hai. CAA aur NRC ka hamaray watan Aziz hindustan aur hindustanyoun ke liye kitna khatarnaak hai ye haqeeqat har kisi ko samajhney ki zaroorat hai. CAA par baat karne se pehlay hum NRC ko samajte hain. Sab se pehlay ye jaan lena zurori hai ke NRC kisi bhi terhan se sirf muslim mukhalif nahi hai, Taham ye zaroor kaha ja sakta hai ke NRC khatoon, Dalit, Qabaili, zameen se mahroom aur ghareeb mukhalif hai.
Darasal NRC shehriat ka wo register hai jis mein jis ka naam aa jaye ga usay hindustani shehri mana jayega aur jo isse bahar reh jaye ga usay ghair qanooni mohajir qarar day diya jayega. Assam mein NRC ka nifaz huva aur 3 crore afraad ke liye 50 hazaar mulazmeen ne 6 saal tak lagataar mehnat kar ke usay tayyar kiya. Is ke liye ek notification jari kar ke ye bataya gaya tha ke kon kon se dastawizaat ki inhen zaroorat hai. Assam mein NRC ka elaan honay ki der thi ke ek hungama barpaa hogaya. Har koi apne zila sadar daftar ki taraf aur bahar kaam karne walay apne aabadi shehroun ki taraf bhagnay laga. Apne dastawizaat haasil karne ke liye loog rozana kitaroun mein lagnay lagey. .
Ek andazay ke mutabiq Assam ke shehrioun ne apne dastawizaat tayyar karanay mein takreeban 8 hazaar crore rupay kharch kar daaley. Aakhir-kaar 6 saal ke baad NCR jari hui aur is ke sath hi wo salawoan ke ghairay mein aa gayi. Lakhoon mamlaat aisay hain jin mein khandan ke ek ya do fard NRC se bahar kar diye gay. Tamam dastawizaat mein yaksaa naam nah honay ki wajah se bhi NRC se naam bahar hogaye. Sabiq fouji Sanaullah ka maamla aalmi satah par surkhiyoun mein chaaya raha ke hindustani fouj mein apni khidmaat injaam day chuke sabiq fouji ki shehriat ko hi khatam kar diya gaya!
Assam NRC se takreeban 19 lakh loog bahar hue hain aur dilchasp baat ye hai ke un mein 12 se 13 lakh hindu hain aur mehez 5 laakh musalman hain. Inhen bhi abhi appeal karne ka mauqa diya gaya hai aur ab saloon tak phir se dastawizaat laane aur jama karne ka silsila chalta rahay ga. Ye haqeeqat hai ke NRC ko BJP nahi balkay congress ke zamana mein laya gaya tha lekin BJP ne darandazoun ke masla ko apna intikhabi agenda banaya aur usay is ka faida bhi mila. Jab 12 lakh hindu NRC se bahar ho gay to BJP ko shadeed jhatka laga aur usay ye mehsoos honay laga ke is ke voter is se naraaz ho jayen ge to BJP ne ek chaal chali aur ye kehna shuru kiya ke drandazoun ka masla sirf Assam ka nahi hai balkay pooray mulk ka hai aur hum poooray mulk mein NRC ko laago karenge lekin is se pehlay shehriat tarmeemi bil le kar ayenge
Bas yahin se shehriat ke maamla mein BJP ki muslim mukhalif siyasat khil kar samnay aayi. Darasal kaghazat banwane ke liye pesey kharch karne padte hain aur ghareeb ke paas pesey nahi hotay. Qabaili aur zameen se mahroom afraad ke paas wo kaghzat hi nahi hotay ke wo apni mustakil rahaish ko saabit kar saken. Dalitoun ke ek baday tabqa ka bhi haal aisa hi hai. Rahi baat khawateen ki to unka masla to aur bhi paicheeda hai. Hamaray mulk mein khatoon ki shanakht kisi ki beti ya phir kisi ki biwi ke tor par hoti hai. Yani shadi kar ke jab wo apne shohar ke ghar chali jati hai to iski shanakht ke tamam tar kaghzat khatam ho jatay hain. Aisay halaat mein loog 50-50 saal puranay kaghzat bhala kahan se le kar ayenge.
NRC mein ek bohat badi khaami ye hai ke is mein har 1 shakhs ko apni shehriat saabit karni hoti hai. Iski wajah se is amal mein waqt bhi bohat ziyada lagta hai, Loogoun mein khauf ka mahol bhi peda hota hai aur doulat kharch hoti hai so allag. NRC khatoon, Zameen se mahroom afraad, qabaili, Dalit, Nakhawanda aur ghareeb mukhalif kyun hai ye bhi samajh letay hain. Ye mulk note bandi ke waqt jis terhan ke halaat se dochaar ho chuka hai waisay hi halaat NRC ke baad bhi peda honge aur is ki zad mein kisi ek mazhab ya firqa se talluq rakhnay walay loog nahi ayenge balkay mulk ka har shakhs is se mutasir hoga.
Loogoun ko hukoomat se ye kehna hoga ke agar aap ko is mulk se darandazoun ko bahar nikalna hai to inhen talaash karo aur nikaal do. Har 1 shakhs ki shehriat ko shakki nigah se dekhnay ki kiya zaroorat hai! Note bandi karte waqt bhi hukoomat ne kaha tha ke is se kala dhun khatam ho jaye ga lekin huva kuch aur hi. Huva ye ke note bandi se wo paisa hukoomat ke paas pouncha jo loogoun ne kamaya to jaaiz tareeqa se tha lekin is ka kahin record nahi tha. Nateeja ye ke hukoomat ke is waar se nah to kala dhun haasil huva aur nah hi ameeroun ko koi nuqsaan huva, Bas ghair munazzam shoba poori terhan tabah hogaya aur ghareeboun par is ki zabardast maar padi.
Ab baat karte hain CAA ki. Hukoomat ne Assam mein wada kiya tha ke wo NRC se pehlay CAB le kar aeyegi aur is ne aisa kiya bhi. CAB mein tajweez pesh ki gayi ke Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se anay walay Hindu, Sikh, Jain, Bodh, Paarsi aur Isaai loogoun ko har haal mein shehriat day di jayegi. Matlab saaf hai ke jo loog NRC se bahar honge aur agar wo ghair muslim hain to inhein ghabranay ki zaroorat nahi. Lekin kiya ye itna asan hai? Farz karen ke koi un 3 mumulk se hindustan nahi aaya aur is ke paas khud ko shehri saabit karne ke hawala se koi dastaweez nahi hai to kiya wo ye saabit kar paye ga ke wo mohajir hai? Jab wo kahin se aaya hi nahi to zahir si baat hai ke wo ye saabit karne mein nakaam rahay ga. Aisay loogoun ka baad mein kiya hoga ye hukoomat ko bhi nahi maloom. –YTN STAFF