Sunday, June 8, 2025
HomeSliderHakkaam ke harasan karne par, kisaan ne apni tamam pedawar ko nazar...

Hakkaam ke harasan karne par, kisaan ne apni tamam pedawar ko nazar aatish kar diya

Hyderabad: Telangana kisaan congress chairman Anvesh Reddy ne mangal ko kaha ke riyasat ke kisanon ko apni pedawar ki farokht mein pareshani ka saamna kar na pad raha hai. Unhon ne ilzaam lagaya ke hakkaam kashtkaroun se masnuyi ki kharidari mein takheer kar rahay hain. Avenash Reddy ne bataya ke zila Mulag ke Eturunagaram mandal ke tehat Chinnaboina gram panchayat ke ek kisaan ne is ki tamam pidwar ku naza aatish kar diya hai, kyun kay wo 20 dinon tak jaddo jehed karne ke bawajood bhi apna dhaan farokht nahi kar saka.

Unhon ne ilzaam lagaya ke hakkaam ne unke dhaan ka wazan nahi kiya, Jis ke bad kesan ne intahi qadam uthaya. Unhon ne ye bhi kaha ke kisanon ko apni pedawar ki wazan mein takheer ke baais bohat saari pareshaniyon ka saamna karna padta hai. Unhon ne ye bhi ilzaam lagaya ke miller  ku quality check karne ke naam par kisanon ko dhoka day rahay hain.

Avenash Reddy ne ilzaam lagaya ke kapaas ke kashtkaar zabar dasti apni pedawar milon ko farokht karne par majaboor they, Kyunkay CCI ke ohdedar miyaar par zor day rahay hain. unhon ne yeh bhi ilzaam lagaya ke Jammikunta bazaar mein 185 trolleys. ke zakheeray ke muqaabla mein sirf 50 trolleys.   ki pedawar khridi hai. Unhon ne mutalba kiya ke reyasti hukoomat CCI ohdedaron ke khilaaf sakht karwai kere war inhen munasib hidayat jari kere. –YTN STAFF