Wayanad: Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne haftay ke roz wazeer-e-aazam Narendra Modi par tanqeed karte hue kaha ke bain-ul-aqwami media ke mutabiq mulk mein mojooda sorat-e-haal aisi hai ke Hindustan dunya ka esmatdarri ka dar-ul-hukoomat ban gaya hai. Apne intikhabi halqa Wayanad ke doray ke teesray-o-aakhri din ek jalsa aam se khitaab karte hue Rahul ne kaha ke khawateen aur bachoun par hamloun ki mutadid it-tila-aat sangeen aur tashweesh ka baais hain.
Unhoun ne kaha ke ”beroni mumulk ye pooch rahay hain ke Hindustan mein khawateen aur bachay mehfooz kyun nahi hain. Yahan tak ke rukan Assembly bhi Uttar Pradesh mein esmatdarri ke maamla mein mulawis hai, Tab bhi wazeer-e-aazam ne is barey mein ek lafz tak nahi kaha hai. Aur aaj sorat-e-haal aisi hai ke Hindustan duniya ka esmatdarri ka dar-ul-hukoomat ban gaya hai.
Rahul Gandhi ne kaha ”Aap ne dekha hoga ke mulk mein tashadud mein izafah huwa hai, Khawateen ke khilaaf badhay hain. Har roz hum padhte hain ke khawateen ke khilaaf esmatdarri, Cheid Chhad ho rahi hai.
Rahul Gandhi ne Modi ko nishana banatay hue ye bhi kaha ke mulk par ek aisay shakhs ki hukoomat hai, Jo tashadud aur mulk ko takseem karne par yaqeen rakhta hai. Aqlitoun ke khilaaf tashadud aur nafrat phailai ja rahi hai. Daletoun ke khilaaf tashadud aur mazalim mein izafah huwa hai. Unhoun ne kaha ke mulk mein qayadat ki nakami hai. –YTN STAFF