Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaUnnao esmatdarri ka nishana ban'nay wali ladki ki hospital mein mout

Unnao esmatdarri ka nishana ban’nay wali ladki ki hospital mein mout

New Delhi: Unnao esmatdarri ka shikaar honay wali ladki, Jisay esmatdarri ke mulzimoun ne zindah jalaya tha. Jumaraat ke roz yahan Safdarjung hospital mein is ki mout ho gayi. Mutasirah, jo 90 feesad se ziyada jal gayi thi, 43 ghantoun tak zindagi ki jung ladte hue haar gayi aur Cardiac Attack ki wajah is ki mout ho gayi. Doctoroun ke mutabiq mutasirah ladki ne raat 11 baj kar 40 minute par aakhri saans li. Is ke aakhri alfaaz they ”hamin bacha lijiye“.

It-tila-aat ke mutabiq, Unnao esmatdarri ki mutasirah ko 5 afraad ne ighwa kiya tha, Jinhoun ne March mein is ke sath zayad-ti ki thi aur zamanat par bahar aeye they. Unhoun ne zamanat par raha honay ke baad mazkorh mutasirah ladki par hamla karte hue is ko aag laga kar jala diya tha. Jisay Safdarjung hospital mein shareek kiya gaya tha. Jahan is ne jumaraat ke roz aakhri saans li. 20 sala mutasirah jo Raebareli ki adalat ja rahi thi ke is par un logoun ne hamla kar diya aur iss ko aag lagadi thi.

Ab sawal ye hai ke UP police ab un mulzimoun ke khilaaf karwai kaisay kere gi, Jo pehlay se hi zamanat par bahar hain. Ek report ke mutabiq, Unnao ab aisay mamlaat ki kasrat ke sath Uttar Pradesh ka ”Esmatdarri ka markaz“ bana huwa hai. –YTN STAFF