Sunday, May 4, 2025
HomeLatest NewsMutanazia tantrek Natyaananda ne naya mulk hi banaliya

Mutanazia tantrek Natyaananda ne naya mulk hi banaliya

Banglore: Hum aksar suntay hain ke shadi karkay ghar basa liya ye bhar kisi jurm ke baad mumkina saza se bachney ke liye mulk se faraar hokar kisi aur mulk mein nai duniya basa li lekin aap ne kabhi ye nahi suna hoga ke kisi ne ek naya mulk basa liya hai lekin ab aisa huwa ke hindustan ki ek mutanazia shakhsiyat ne ek mulk basa ne ke ilawa is ka Passport bhi jari karliya hai.

Mutanazia tantric Nathyananda bhallay hi apne khilaaf Karnataka mein darj ismatraizi ke ek maamla se khud ko bachanay ke liye baghair Passport ke hindustan se faraar huwa ho lekin is ne ab ek na qabil yaqeen karnaama injaam day diya hai. Is ne khud ka ek poora mulk abad kar liya hai. Is ne is ka naam Kailaasa rakha hai. Ab is ke paas is ka khud ka passport bhi hai.

Nathyananda ne apne naye mulk ki ek Website bhi muta-arif ki hai. Is mein usay roye zameen par hindutva ka azeem mulk bataya gaya hai. Media zaraye ke mutabiq Nathyananda ne janoobi America mein Ecuador mein ek jazeera khareeda hai aur usay ek azad aur naya mulk kehna shuru kardiya hai.

Is ki Website par daawa kiya gaya hai Kailaasa baghair sarhadoon ka ek mulk hai jisay duniya bhar se be dakhal kiye gaye hindu ne basaayaa hai. Jinhon ne apne hi mulkoun mein mustand tor par hindu mazhab ki par amal aawri ka haq kho diya hai. Is mulk ka apna ek passport hai aur Nathyananda ne pehlay hi is ka ek online namona bhi pesh kardiya hai. Is ke ilawa Website par is mulk ( Kailaasa ) mein milnay wali sahuliyaat ke sath is ki khususiyaat ke baray mein bhi tafseel di gayi hai. Nathyananda ab logoun ko apne mulk ka shehri ban’nay ke liye madoo kar raha hai. Sath hi is ke nazam wansaq ke liye wo logoun se atiyah bhi maang raha hai. Tamil Nado ka rehne wala hai Nathyananda, Asmatdarri muqadma ka mulzim hai.

Nathyananda jis ka asli naam Raj Shekharan hai, wo Tamil Nado ka rehne wala hai. Wo saal 2000 mein Bangloru ke paas ek Aashram bananay ke baad ba asar shakhs hogaya tha. 2010 mein Nathyananda is waqt khabroun mein aaya tha jab is ka ek adakara ke sath qabil aitraaz haalat mein video virul ho gaya tha. Baad mein is par ismatraizi ka ilzaam laga tha aur usay giraftaar kar liya gaya tha. Is muqadma ke ilawa ismatraizi ke ek deegar muqadma mein bhi is par fard jurm daakhil ki gayi thi. –YTN STAFF