Pyongyang: Shumali Koreayi leader Kim Jong-un ne apne pahadi sheher samagoun ki tazaeennou ka silsila mukammal honay ke baad is ka bazabta is shehar ka iftitah kar diya hai. Is shehar ko shumali Korea ki hakoomati ishrafia ne jannat se tabeer kiya hai. Samjiyon muqaddas samjhay janne walay pahadi silsilay Pyongyang ke daman mein waqay hai.
is pahar ko muqaddas qarar dainay ki ek wajah yahan socialist hukoomat ke mojooda leader Kim Jong-un ke waalid Kim Jong-il ka muqamِ paidaiesh hai. communist hukoomat Samjiyon ko jadeed aur taraqqi Yafta tahazeeb ka ek nishaan qarar day rahi hai. Is shehar ke iftitah ki taqreeb shaam munaqqid hui.
Iftitahi taqreeb ke mauqa par shandaar aatish baazi ka muzahira bhi kiya gaya. Shumali Koreayi hukmaran workers party ke ba ikhtiyar Politburo ke ek rukan ne kaha hai ke Samjiyon ko mazeed wusat dekar logoun ke liye ek jannat numa shehar banaya jayega.
Shumali Koreayi sarkari news agency ne is shehar ke barey mein chand tafseelaat jari ki hain. Un ke mutabiq is mein taqreeban 4 hazaar khandanou ko rehaishi sahoolat faraham ki gayi hai. Samjiyon mein ek bada dawakhana, saqafati sargarmioun ka mukammal intizam honay ke sath Scanning ka maqam bhi banaya gaya hai. Samjiyon ko pahodoun mein ek jadeed shehar lekin socialist . chhatri taley qaim kiya gaya hai.
Doosri janib janoobi Korea mein shumali Koreayi tarkin watan ke Internet akhbar the Daily NK mein shaye report mein bataya gaya ke Communist hukoomat ne Samjiyon mein jadidiyat ka rang peda karne ke liye wahan ke rahaishioun ko jabri bidakhal kar diya tha. Isi shehar ke kayi logoun se nai taamer ke liye jabri mushaqqat bhi li gayi. Is ke ilawa kayi dosray ilaqoun se bhi mazdooron ko tamirati kaam ke liye zabardasti laya gaya tha. –YTN STAFF