Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthAchaar paith ke Cancer ki wajohaat mein sare-fehrist

Achaar paith ke Cancer ki wajohaat mein sare-fehrist

Hyderabad: Aam ka achaar, imli ka achaar, leemu ka achaar, tarkari ka achaar, gosht ka achaar aur na janey kitnay qisam ke achaar market mein dastyab hain jabkay hyderabadi awam mein Dalch aur Bagar khana ke sath achaar maqbool dish tasawwur ki jati hai lekin haliya tahaqeeq ki roshni mein doctoron ne intibah diya Hai ke junoobi Hindustan aur khususan dono Telugu reyaston mein paith ke cancer ke badhatay mamlaat mein acha ka istemaal kaledi rule ada kar raha hai kyunkay achaar mein namak ki miqdaar ziyada honay ke alawa deegar masala jaat bhi paye jatay hain jo khanay walay ke liye paith ke cancer ki wajah mein kalidi rule ada kar rahay hain.

Khaano ki aadaat aur junoobi Hindustan ke awam mein cancer ki tajziyati mutalea mein ye wazeh kiya Hai ke gastric cancer ki ek badi wajah achaar hain. gastroscan  2019 ke kuhsoos mein izhar-e-khyal karte hue Apollo cancer institute ke Dr P.Vijay anand reddy ne kaha Hai ke achaar jahan dono Telugu reyaston ki awam mein cancer ki ek ahem wajah ban raha hai to wahein doosri janib awam aur doctoron ke darmiyan behtar rabita na honay ki wajah se mareez cancer ka ilaaj ke liye is waqt rujoo hotay hain jab ye teesray aur chouthay marhala mein daakhil hochuka hota hai.

Duniya bhar mein 1.6 million cancer ke mamlaat darj kiye jatay hain jis mein ek million afraad peth ya halaq ke cancer se mutasir hotay hain jis mein 60 feesad afraad bad-qismati se mout ki neend so jatay hain. Ek sawal ke jawab mein unhon ne kaha hai ke Telugu reyaston mein gastric cancer tashweesh-naak had tak badh raha hai kyunkay dehatoun mein log saalan ke tor par acharoun ka ziyada istemaal karte hain jabkay khanay ke baad garam chai aur coffee se bhi inhen ahtehyat karni hogi.

Acharoun mein zayed namak istemaal kiya jata hai aur yahi gastric cancer ki ek wajah ban raha hai. mahireen sahet ne mashwara diya Hai ke khanay ke aadaat mein tabdeeli karne ke alawa taaza tarkariyan istemaal karne ko tarjeeh dainee chahiye kyunkay ek waqt tha jab 50 saal ki Umar mein cancer ka khadsha rehta tha lekin ab 30 baras ki Umar mein hi ye khadshaat badh rahay hain. Dr Vijay anand reddy ne adad wo shumar ka hawala dete hue kaha ke Hindustan mein 2016-17 may cancer ke mamlaat 6 laakh darj kiye gaye they lekin 2018-19 may yeh 15 laakh tak pohanch chuke hain. –YTN STAFF