Lacknow: Bahujan Samaj Party ( BSP ) ne 5 bar ke rukan Assembly Ram Prasad ko ghair zabita aur Party mukhalif sargarmioun ke sabab Party se nikaal diya hai. Party ne hafta ke roz basti ke 3 sabiq arkaan-e-Assembly, Rajendra Choudhary, Doodh Ram aur Jitendra kumar ko Party se moattal kar diya. BSP Basti ke zilai sadar Sanjay Dhusia ne kaha ke qaideen pichle kayi mahino se Party mukhalif sargarmioun may mulawis they aur inhen mutadid baar intabah diya gaya tha.
Zaraye ne bataya ke nikalay gaye rehnuma ab Samajwadi Party may shaamil hon ge. sabiq rukan Parliament aur Mayawati hukoomat ke wazeer, Ram Prasad Choudhary ne Media numaindoun ko bataya ke unhoun ne abhi tak uskay baare may kuch soncha nahi hai.
Unhoun ne kaha mujhe nahi maloom ke Party sadar Mayawati mujh se naraaz kyun hain. may haftay ke roz Party se istifa day diya tha, lekin is ke furan baad hi mujhe nikaal diya gaya. may siyasat may rahon ga, lekin abhi tak faisla nahi kiya hai ke, kis Party may shaamil hona hai.
Sabiq rukan Parliament Basti may ek naamwar rehnuma hain aur is khittay may bohat jaddo jehed karte hain. haal hi may, BSP ke sabiq MLC aur sabiq wazeer khazana ke K Gautam ne bhi SP may shamoliat ikhtiyar ki hai. –YTN STAFF