Monday, April 21, 2025
HomeSliderSaudi Arab may taraqqi ke adaad shumaar hosla afzaa : Shah Salman...

Saudi Arab may taraqqi ke adaad shumaar hosla afzaa : Shah Salman Bin Abdulaziz

Riyadh: Khadim harmien sharifien Shah Salman Bin Abdulaziz ne kaha hai ke hum jung nahi chahtay watan ka difaa poori qowat se karen ge. Shah Salman Bin Abdalaziz ne majlis shoora ke nee Session se salana khitaab kiya. apne khitaab may unhoun ne Saudi Arab ki dakhla aur kharja Policy ke ahem nakaat ko ujagar kiya. Shah Salman ne mazeed kaha ke Saudi Arab ki tail Policy ka maqsad aalmi tail mandi may istehkaam barqarar rakhna aur tail bar aamad aur khareedne waloun ke mafadaat ka yaksaa tor par khayaal rakhna hai.

Unhoun ne kaha ke Aramco ke hasas ki badolat mulk may bhaari sarmaya aeyega aur hazaroun shehrioun ko rozgaar milega. Shah Salman ne apna tareekhi muaqqaf phir dohratay hue kaha ke Aramco tail tansibat par hamloun may Irani asleha hi istemaal kiya gaya. Shah Salman ne Saudi maeeshat se mutaliq kaha ke Saudi Arab Vision 2030 ke tavassut se mazeed kamiyabiyan haasil karne ki shahrah par gamzan hai. Vision ke tamam anasir ki takmeel ke liye koshan hai. Shah Salman ne kaha hai ke guzashta ashroun ke douran hamaray yahan jitne azeem al-shan kaam hue hain un par hamara mulk fakhr aur naz karsaktha hai.

Khadim harmien sharifien ne kaha ke Saudi Arab ne qaumi ahdaaf haasil karne ke liye apne iqtisadi dhanchay may tanawu peda karne ke silsilay may prazam hai. hamaray shehri hamara bunyadi hadaf aur umedoun ka markaz hain. afraadi qowat ko farogh daine ke silsilay may kaafi kaam kar liye hain. Watan-e-Aziz ke ladkoun aur ladkiyoun ko Saudi Labour Market ke liye badi hadd tak tayyar kar liya gaya hai.

Shah Salman ne khawateen se mutaliq qaumi Policy ka tazkara karte hue kaha ke Saudi Arab khawateen ko apne qadmoun par khada karne ka Mission jari rakhay ga. Watan-e-Aziz ki taamer-o-taraqqi may khawateen ki shirkat ka tanasub bedhate rahen ge. ilawa azeen berozgari ki sharah kam karne aur Saudi Arab ke mardoun aur khawateen ko rozgaar ke ziyada se ziyada mawaqay faraham karne ki jad-o-jehad jari rakhen ge.

Shah Salman ne kaha ke is haqeeqat ka tazkara baday fakhr ke sath karna chahoun ga ke 2017 may Saudi khawateen 19.4 feesad maidan amal may the. 2019 may unka tanasub badkar 23. 2 feesad hogaya hai. Shah Salman ne mazeed kaha ke saal rawan ki doosri sah mahi ke douran Tail ke masiwa qaumi aamdani ki sharah numoo 3 feesad hogayi hai. 2018 ki doosri sah mahi may ye sharah numoo 2.5 feesad thi. Adad-o-shumaar bata rahay hain ke tail ke masiwa zaraye se aamdani ki sharah 15 feesad tak poanch gayi hai. Shah Salman ne Saudi Market may Aramco ke hasas ke hawalay se kaha ke saal rawan ke douran idaroun ki tadaad may 13 feesad ka izafah huwa hai.

Shah Salman ne ye bhi kaha ke Saudi Aramco ke kuch hasas androun aur beroun mumlikat farokht ke liye pesh kiye gaye hain. isse sarmaya kaari aeye gi. hazaroun logoun ko mulaazmaten mileingi aur maliyati mandi ka hajam mazboot hoga. Shah Salman ne kaha ke Saudi Arab jang nahi chahta. mumlikat ne hamesha qiyam aman ka rasta ikhtiyar kiya hai taham Saudi Arab kisi bhi jarhiyat ke khilaaf apne awam ka difaa poori qowat se karne ke liye hartarah tayyar hai.

Unhoun ne kaha ke Irani nizaam ko ye baat samjhna hogi ke iske samne jo rastay hain na guzeer hain jo rasta bhi ikhtiyar kerega is ke nataij usay bardasht karna honge. Saudi Arab Irani nizaam aur is ke wazifa khwaroun ki policies aur sargarmioun se kaafi mushkilaat jhel chuka hai. Irani nizaam aur is ke wazifa khwaroun ki policia aur sargarmia khittay may aman-o-salamti ke mawaqay sabutaaj karne ke hawalay se nuqta-e-urooj ko poanch chuki hain. Shah Salman ne Yemen se mutaliq Riyadh muahiday ka tazkara karte hue kaha ke Saudi Arab Yemeni bhaiyoun ki madad se mutaliq apna roshan kirdaar jari rakhay ga. hamay umeed hai ke Riyadh muahiday se Yemen ke tamam fareeqoun ke darmain wasee albunyad mafahmat ke darwazay khulein ge. –YTN STAFF