Monday, April 29, 2024
HomeSlider6 mah baad Saudi arab ne Umrah ki ijazat dedi

6 mah baad Saudi arab ne Umrah ki ijazat dedi

Saudi arab ke wizarat-e-Hajj ne itwaar se apne shehrion aur deegar mumalik se aaney walay musalmanoun ko mehdood paemanay par Umrah karne ki ijazat dedi  hai.
Saudi arab mein apne pehlay corona case ki ittila ke baad, Saudi hukoomat ne ghair mulki aur aur muqami musalmanoun ke liye Umrah ki adaigi ko mo-attal kardiya tha.

Arab news ki khabar ke mutabiq, aazmeen Saudi arab ki wizarat-e-hajj-o-Umrah ki ‘ Itemarna  app’ ke zariye darkhwast denay ke baad subah 6 bajey masjid al-haram mein daakhil hue.

6 mah qabal saudi hukoomat ne badhtay hue coronavirus mamlaat ke paish-e-nazar Umrah ziyarat mo-attal karne ka faisla kiya tha, moujooda wabai amraaz ki wajah se Saudi hukoomat ne sirf ek hazaar aazmeen ko hajj ki ijazat di thi.

Saudi arab duniya bhar mein salana 25 laakh Hujjaj ko hajj ke liye maizbani karta hai, ab tak Saudi arab mein corona ke qareeb 336,000 mamlaat record kiye gaye hain, jabkay coronavirus mareezon ki Bazyab honay ki tadaad 321,000 darj ki gayi aur 4850 amwaat ho chuki hain.

Saudi arab ki hukoomat ne mojooda corona virus wabai marz par ghor karte hue 4 marahil mein Umrah ki ijazat dainay ka faisla kiya hai.

4 october itwaar se shuru honay wala pehlay marhala sirf 30 feesad tak hoga, jis mein 6000 shehrion aur riyasat ke andar mojood rehaishion ko Umrah ki ijazat hogi.

Doosra marhala 18 october se shuru hoga jis mein 75 feesad hazreen (15000 hazaar) musalmanoun ko Umrah ada karne ki ijazat hogi.

1st November se teesray marhalay mein riyasat ke andar aur bahar se anay walay zaireen ko ijazat hogi, jis mein 20٫000-60,000 zaireen ko Umrah ada karne ki ijazat di jayegi. Saudi hukoomat sirf un mumalik ke hazreen ko ijazat degi jo corona mamlaat mein kam honge.

chouthay marhalay ke douran Saudi wizarat hajj riyasat ne andar aur bahar se aanay walay aazmeen ko zaroori ahteyati tadabeer ke sath 100 % umrah ka ineqad shuru karday ga jaisa ke pehlay tha, aur is marhalay ke baray mein faisla us waqt faisla liya jaye ga jab majaz authority ye faisla karega ke wabai amraaz ke khatraat khatam ho jatay hain.

Jismani darja hararat mein izafay ki nigrani karne aur zaroorat padney par alert jari karne ke liye Masjid al-haram ke dakhli raastoun par thermal camera rakhen jayenge. Arab news ki report mein kaha gaya hai ke har group ki mojoodgi ke darmiyan din mein 10 dafaa masjid ko saaf kiya jayega. onche manzil tak jane wali escalators ko bhi safai walay aalaat se aarasta kiya gaya hai, jabkay haath dhoney walay aalaat masjid ke dakhli raastoun par rakhay gaye hain.