Thursday, May 8, 2025
HomeHyderabadHyderabad Mein Raye Shumari Ke Liye Sakht Tareen Intizamaa

Hyderabad Mein Raye Shumari Ke Liye Sakht Tareen Intizamaa

10 Hazaar Se Ziyada Police Ohdedar Tanyat
Mobile Phones Par Pabandi

kamyabi ke baad Rally  ke liye ijazat darkaar

Hyderabad : Duniya bhar ki nazrain ab is waqt sab se bade jamhoori mulk Hindustan  ke parlimani intikhabaat ke nataij par markooz ho chuki hain jaisa ke 23 May ko subah se hi raye shumari ka aaghaz hojayega jis ke baad nai hukoomat aur wazeer-e-azam ke intikhab par moujood paish qiyasiyoun ke baadal chaatt jayen. Telnagana ke 17 parlimani halqon ke liye 11 April ko 34 hazaar 603 polling stationon aur 18 hazaar 526 polling maqamat pur aman raye dahi hui thi.

Raye dahi ke pur aman ineqad ke baad EVM aur VVPAT machinoun ko 16 police stations ke hudood mein 37 maqamat par mehfooz kiya gaya hai aur ab kal unki raye shumari hogi jis ke baad hyderabad aur secunderabad se nataij ka elaan jari kiya jaye ga. Raye shumari ke liye tamam tar aur sakht tareen intizamaa karliye gaye hain jiskah raye shumari ke maqamat par 10 hazaar se zayed police ohday daaron ko tainaat kiya jayega jabkay ke raye shumari ke hall mein mein sirf aur sirf sirf returning officers ke alawa khusoosi ijazat haasil karne walay afraad ko hi dakhla diya jayega .

Is ke alawa raye shumari ke maqam par mobile phones le jaaney ki ijazat bhi nahi hai. alawa azeen kamyabi ke baad fori tor par jashnn ki reliyan bhi nikaalte ki ijazat nahi hogi balkay ke kamyaab umeedwaron ko apni khushi ka jashnn mananay ke liye Rally  ke liye ijazat leni hogi. additional director general of police law and order Jitendar nay kaha hai ke raye shumari ke liye sakht tareen intizamaa mukammal karliye gaye hain jahan 10 hazaar se zayed police ohdedaron ko tainaat karne ke alawa raye shumari mein khidmaat anjaam dainay walay arbab-e-majaz ke liye bhi sharait wo qawaneen ko bhi wazeh kardiya gaya hai .

Is ke alawa raye shumari ke marakaz ke atraaf 100 meters ke dairay mein 144 CRPF ka nifaz bhi amal mein laya jaye ga jis ke tehat yahan paanch ya is se zayed afraad ke ek sath honay par pabandi aed rahay gi. Jitendar nay yeh bhi wazeh kar diya hai ke kamyabi ki soorat mein faateh umeed waar ko baghair ijazat ke kamyabi aur jashnn ki Rally  nikaalte ki ijazat nahi hogi, jis ke liye unhon nay tamam siyasi jamaaton aur umeedwaron se appeal bhi ki hai ke woh is zimn mein aman o Amaan ki barqarari ke liye police se taawun karen .

Dono shehron mein mein raye shumari ke liye 14 maqamat par par traffic police nay ohdedaron aur deegar agents aur deegar gadiyon ke liye parking ka intizam bhi kiya hai jis mein Musheerabad, Nampally , Chandrayangutta , Amberpet  , Malakpet , sanat nagar, Secunderabad, Goshamahal, Charminar, Yaqutpura, karwan, Bahadurpura, Khairtabad, Jubilee hills aur shaamil hain. yahan is baat ka tazkara bhi ahmiyat ka haamil hai ke ke raye shumari mukammal honay aur nataij ka elaan karne ke baad voting machinon ko begum bazaar ke ek godaam mein mehfooz kar diya jaye ga. district election officer M Dana Kishore nay voting machinon ko mehfooz kiya jaaney ke maqam ki security intizamaa ka jaiza liya hai aur yahan ke cameron ke zariye dur se bhi ki jaaney wali nigahdasht ke nizaam ka bhi jaiza liya hai. –YTN STAFF