Sunday, April 20, 2025
HomeLatest News500 saal ki Urdu Ghazloun ka angrezi tarjuma

500 saal ki Urdu Ghazloun ka angrezi tarjuma

New Delhi: Internet ki wajah se Urdu Ghazalen duniya mein khoob maqbool ho rahi hain aur ab Angrezi sameit kayi zabanon mein Gazalen likhi ja rahi hain. Poori duniya mein rekhta.com ORG par Urdu adab parhney walon ki rozana tadaad ek   lakh tak poanch gayi hai. Jamia Millia ke subukdosh Angrezi Professor aur mashoor mutrajim shayar Dr Anees Ul Rehman ney yeh inkishaaf kiya hai jinhon ney guzashta 500 saal ki urdu Ghazal ka ek   majmoa nikala jis mein 500 shayaron ki Ghazloun  ka angrezi mein tarjuma kiya hai.

Jamia ke Sabiq registrar Dr Rehman ki kitaab hazaron khuwaishe aisi ki yahan rasam ronmayi ki gayi jis mein mashhoor Ghazal Gulukar Reshmi Agarwal ney chand gazalen bhi gaaye. Dr Rehman ney kaha ke hindostan mein solhween sadi mein Urdu ke phelay ghazal shayar Qulli Qutub Shah huwe is ke baad se 500 saal tak gazalen likhi jati rahi. ab to Bangla, Gujrati, Marathi, Kashmiri mein bhi gazalen likhi ja rahi.

Hindi mein Bhartiyon Harish Chandar ney pehli ghazal likhi, Shamsheer aur Tirlochan ney bhi gazalen likhi lekin Dashiyant Kumar se Hindi gazalen khoob maqbool huwien. Internet Facebook WhatsAppwats se urdu ghazal kaafi maqbool huwi aur America, Canada, Spain, Australia , Austria aur Europe ke kayi Mumalik mein gazalen likhi ja rahi hain.- YTN STAFF