Sunday, May 19, 2024
HomeLatest News5 June Ko Eid-ul-Fitr , Technology Aur Ulama May Takrao Ki Soorat-e-Haal

5 June Ko Eid-ul-Fitr , Technology Aur Ulama May Takrao Ki Soorat-e-Haal

Karachi : Mah-e-Ramdan-ul-mubarak aur Eid-ul-fitr ke chaand dekhnay ki zimn mein aksar ikhtilafat paye jatay hain aur basa aowqaat aisa bhi hua  ke Hindustan aur Pakistan jaisay baday mulk mein do eidain hui hain yani Hindustan ek mulk aur Pakistan ek mulk honay ke bawajood un mein do dinon mein do eidain manayi gayeen hain jis ke baad technology ke istemaal par zor diya jane laga aur ab technology aur ulama ke darmiyan 5 June ko eid ul fitr ke honay ke zimn mein takrao ki soorat-e-haal peda hogayi hai .

Pakistan ke wifaqi wazeer baraye science and technology Fawad Chowdhry nay elaan kar diya hai ke Pakistan mein is martaba eid 5 June ko hogi. is elaan ke baad se ulama aur hukoomat ke darmiyan takrao  ki soorat-e-haal hai. ulama nay kaha hai ke Riwayat hillal committee ke ijlaas ke baghair chaand ki tareekh ka elaan is tarhan kaisay kiya ja sakta hai jabkay hukoomat Pakistan nay is martaba ki hi eid nahi balkay aindah chaar saal ki aydon ka bhi abhi se elaan kar diya hai .

Darasal, Pakistan ke wifaqi wazeer science wo technology Fawad nay science ki madad se paanch saal ka qamri calendar jari karne ka elaan kiya  hai. is ke baad Rawiyat Halal committee ke chairman Mufti Muneeb nay Fawad ke faislay ko shadeed tanqeed ka nishana banaya hai aur dono ke darmiyan media aur social media par bayan baazi ho rahi hai .

Wazeh rahay ke Hindustan aur Pakistan mein har saal Eid-ul-fitr  aur Ramdan ke chaand ke hawala se tanaza hona koi nai baat nahi hai. kayi martaba to aisa bhi ho chuka hai jab un mulkon mein alag alag khittay ke logon nay do mukhtalif dinon mein eid manayi. taweel muddat se kuch log yeh bhi kehte aa rahay hain ke aaj jab science nay itni taraqqi kar li hai ke hum chaand, Sooraj aur sitaron ki gardish ko pehlay se hi jaan letay hain to phir eid aur ramdan ke chaand ki tarikhon ka pehlay se hi taayun kyun nahi kar liya jata.

Pakistan ki wizarat science wo technology nay ek qamri calendar ke ajra ke sath chaand ki tarikhon ke barey mein ek Website bhi muta-arif kara di hai, is Website ke mutabiq eid ul fittar 5 June ko hogi. Website par mahana reports, hjri calendar, islami tehwar aur naqshay mojood hain .

Pakistani media ke mutabiq chairman islami nazriati council qibla Ayaz nay wazeh kiya  hai ke qamri calendar apni jagah lekin quran wo hadees ke mutabiq eid wo ramdan ka elaan chaand dekh kar hota hai aur is calendar ki sharai hesiyat ka faisla eid ke baad kiya  jayega .

Qibla Ayaz nay kaha, hukoomat nay jo calendar bheja hai is se pata chalay ga ke chaand kab aur kahan niklayga. duniya mein abhi tak kahin bhi eid ka elaan nahi hua  hai. quran wo hadees ke mutabiq eid aur ramdhan ka elaan chaand dekh kar karna hota hai aur rawiyat ke sath jadeed alaat ka bhi istemaal bhi kiya  jasakta hai. qamri calendar ki sharai hesiyat ka faisla eid ke baad hoga, shoba tehqeeq aur ulama ki raye ke baais eid se pehlay faisla mumkin nahi, kyunkay ulama ki raye ke baghair hatmi raye nahi day sakte .

Wizarat science ki taraf se eid ke elaan ke bawajood mufti Muneeb nay eid ka chaand dekhnay ke liye Rawiyat Halal committee ka baqaida ijlaas talabb kiya  hai. wizarat science wo technology ke jari kardah calendar aur Website ki zaroorat aur Rawiyat Halal committee ka muaqqaf jannay ke liye media nay mutaliqa hukkam aur ulama se baat ki .

Syed Mushahid Hussain Khalid , Director general wizarat mazhabi umoor nay bataya ke ba-hasiat rukan Rawiyat Halal committee woh samajte hain ke wizarat science ka jari kardah qamri calendar Rawiyat Halal ke liye acha hai. yeh bohat achaa hai ke aam awam ki aagahi ke liye yeh calendar agaya hai. aam log chaand se mutaliq jin shukook o shubhat ka izhaar karte hain ab unko science tor par mutmaen kiya  jasakayga. yeh calendar hamaray ( Rawiyat Hilal committee ) elaan par amal-dar-aamad mein aasani paeda karega.

Pakistan mein wizarat science and technology ke qamri calendar aur eid ke elaan ke baad dekna yeh hai ke aaya Pakistan is martaba 5 June ko Eid-ul-fitr  mana sakayga ya is par hatmi faisla Rawiyat Halal committee hi karegi. Pakistan mein jo bhi faisla hoga is ka asar Bar Saghir ke deegar mumalik par bhi hona tey hai kyunkay har ek aam musalman chahta hai ke kam az kam chaand ke hawala se aaye din mein koi tanaza paeda nah ho aur ek mulk mein ek hi din eid manayi jaye . –YTN STAFF