Friday, May 17, 2024
HomeSlider5 din chalne wali Battery tayyar karne ke daawa

5 din chalne wali Battery tayyar karne ke daawa

Melbourne:  Smartphone ke baghair aaj zindagi ka tasawwur bhi mahaal hai ye hi wajah hai ke loog charger aur Powerbank sath leker ghumte hain kyunkay agar kahin phone ki Battery khatam hojaye to koi mushkil nah hu aur ab aisay hi masail ko hal karne ke liye mahireen ek aisi Battery banali hai jis ko ek martaba charge karne ke baad wo 5 dinon tak qabil istemaal hogi.

Science danoun ne ek martaba charge honay par 5 roz tak chalne wali nai terhan ki phone battery ke kamyaab tajarbaat kiye hain jisay lithium-sulfur batteries ka naam diya gaya hai. Report ke mutabiq Australia ki ki maahir Professor Mainak Majumder ne lithium-sulfur batteries se 5 guna ziyada behtar battery tayarki hai jisay ab tak duniya ki sab se behtareen battery kaha ja sakta hai, Agarchay battery ki jasamat badi hai lekin usay mukhtasar karke mobile batrioun tak laya ja sakta hai lekin tamam khoobiyoun ke bawajood lithium-sulfur batteries mein ek kharabi ye hai ke sulfur batteries charging ke douran sukhadte aur phailtay hain, Is amal se baday batteriya toot jatay hain aur battery be faida hojati hai.

Is kami ko daur karne ke liye dosray marhalay mein mahireen ne battery ke andar itni jagah rakhi jahan Sulfur ke zarraat phail aur sukadh saken. Agar is masla par qaboo pa liya jaye to tawaqqa hai ke bohat jald karoun se le kar smartphone tak mein lithium-sulfur batteries ka raaj hoga. –YTN STAFF