Monday, April 21, 2025
HomeIndia5 Barson Mein 17 Minute Ki Press Conference Lekin Kisi Sawal Ka...

5 Barson Mein 17 Minute Ki Press Conference Lekin Kisi Sawal Ka Jawab Nahi Diya

New Delhi: Wazer-e-Azam Narendra Modi  ney apne paanch saal ke daur-e-Iqtidaar mein pehli press conference ki lekin is press conference mein unhon ney Media ki numaindon ke kisi sawal ka jawab nahi diya .

Is press conference ka pichle paanch baras se har sahafi ko kaafi intzaar tha. woh mulk   ke Wazeer e Azam se barah e raast sawal poochna chahtay thay kyunkay Wazeer e Azam Narendra Modi  ney May 2014 mein Iqtidaar sambhalne ke baad se ab tak koi press conference nahi ki thi. taham inhen aaj is waqt bohat mayoosi hui jab Wazeer e Azam ney barah e raast puche gaye ek bhi sawal ka jawab nahi diya aur apne sath press conference mein baithe Bhartia Janata Party ke qaumi saddar Amit Shah ki taraf ishara karte hue kaha, hamaray liye party sadar hi sab kuch hotay hain .

BJP ke head quarters mein munaqqid is rasmi press conference mein Wazeer e Azam ney sirf bayan dainay par iktifa kya. unhon ney kaha ke woh media ka bhi shukriya ada karne aaye hain aur media ke zariye se ahl-e-watan ka bhi. apne bayan mein unhon ney daawa kiya ke mojooda aam intikhabaat mein BJP ko mukammal aksariyat haasil hogi, mujhe yaqeen hai ke mukammal aksariyat wali hukoomat 5 saal ki muddat mukammal karne ke baad dobarah jeet kar Iqtidaar mein aa rahi hai aur taweel arsay ke baad aisa hoga. mulk ke awam ko 2014 ke baad 2019 mein phir se mauqa mila hai. awam ney hukoomat banana tey karliya hai. mulk ko agay le jaaney ke liye kya karna hai. jald se jald nai hukoomat apna kaam shuru kar day gi .

Wazeer e Azam Modi ki is press conference par social media mein dilchasp tabsaray ho rahay hain. log is baat par bhi herat ka izhaar kar rahay hain ke harmah radio par man ki baat karne walay aur baday baday awaami jalson ko apni taqriron se mashooor kar dainay walay Narendra Modi  ney media numaindon ke ek bhi sawal ka jawab kyun nahi diya .

Is press conference ke baad social media par ek naya tufaan barpaa hua aur sab ney is conference par shadeed tanqeed ki. kisi ney kaha ke Modi  ney umeed dilakar Hindustan ko taweel intezaar karwaya lekin apne waday kabhi poooray nahi kiye. kisi ney kaha ke Amit Shah ki press conference mein Modi  ney shirkat ki. kisi ney kaha 5 barson mein 17 minute ki press conference lekin kisi sawal ka jawab nahi diya. jab ke congress ke sadar Rahul gandhi ney bhi social media par behti ganga mein haath dhotay hue kaha ke Modi  jee mubarak ho! shandaar press conference, agli martaba Amit Shah aap ko chand sawalaat ke jawabaat ka mauqa denge, bohat khoob. –YTN STAFF