New Delhi : Supreme court ke 4 naye judges ne peer ko halaf liya. jiske baad Supreme court ke judges ki tadaad 34 hogayi hai, jo ab tak ki sab se ziyada tadaad hai. Justices Krishna Murari, S.R. Bhat, V. Ramasubramanian aur Hrishikesh Roy ko Supreme court ke naye judge muqarrar kiya gaya hai. May mein, chief Justice Ranjan Gogoi ne wazeer-e-aazam Narendra Modi ko ek khat likha tha, jis mein judges ki tadaad mein izafah karne aur high court ke judges ki retirement ki Umar ko badha kar 65 saal karne ka mutalba kiya gaya tha.
31 July ko markaz ne chief justice of India ke alawa, Supreme court ke judges ki tadaad 30 se badha kar 33 karne ki manzoori day di. 7 august ko Supreme court ( judges ki tadaad ) tarmeemi bill 2019 ko lok sabha mein Manzoor ho gaya aur 10 august ko sadar jamhooria ne is par dastakhat kiya tha.
Justice V. Ramasubramanian aur Hrishikesh Roy ne bal tarteeb himacahl pradesh high court aur kerala high court ki sarbarahi ki hai. justice S. Ravindra Bhat aur Krishna Murari ne Punjab aur Haryana high courts ke sirbarah they.
chief justice ne wazeer-e-aazam ko teen khat likhay. Supreme court mein 58,669 muqadmaat ki peshraft hawala dete hue, chief justice ne mutalba kiya ke is law qanonit ka muqaabla karne ke liye fouri karwai ki jaye. khat mein unhon ne markaz ko tavajja dilae ke 1988 mein Supreme court ke judge ki tadaad 18 se badha kar 26 kar diya gaya tha, aur 20 saal baad is tadaad ko badhakar 31 kar diya gaya, jis mein khusoosi bhi shaamil hain. unhon ne kaha ke muqadmaat ko jald az jald niptane ke liye yeh izafah zurori hai. –YTN STAFF