Monday, April 21, 2025
HomeIndia3 sala bachi ki esmatraizi aur qatal ke qasoorwar ke Death Warrant...

3 sala bachi ki esmatraizi aur qatal ke qasoorwar ke Death Warrant par Supreme Court ki rokk

New Delhi: Supreme Court ne Surat mein ek 3 saal ki bachi ki esmatraizi aur qatal ke qusurvaar 1 shakhs Anil Yado ku phansi ki saza ke liye jari Death Warrant par jumaraat ko rokk lagadi. Chief Justice Sharad Aravind Bobde, Justice Ranjan Gogoi aur Justice Surya Kant ki bench ne Surat ki PASCO adalat ke zareya jari Death Warrant par rokk lagadi.

Samaat ke douran qusoorwar ki janib se pesh Senior wakeel Aparajitha Singh ne bench ko bataya ke Gujrat High Court ke zareya mout ki saza ki tasdeeq karne ke baad Supreme Court mein Appeal karne ke liye 60 denu ka waqt tha lekin is se pehlay hi Death Warrant jari kardiya gaya. Is par Chief Justice Bobde ne kaha ke pehlay hi Supreme Court ka hukum hai ke Death Warrant tab tak jari nahi kiya jaskta jab tak ke qusurvaar saaray qanooni amal pooray nah karle.

Darasal phansi ki saza walay muamlay mein High Court se saza ki tasdeeq honay ke baad is ke khilaaf Supreme Court mein arzi dair karne ke liye qusoorwar ku 60 dinoun ka waqt milta hai lekin is muqadma mein Gujrat High Court ke zareya phansi ki saza barqarar rakhne ke hukum ( 27 Decemeber 2019 ) ke mehez 3 din ke andar hi Trial Court ne Death Warrant jari kar diya tha isi bunyaad par Supreme Court ne aaj Death Warrant par rokk lagadi.

Qasoorwar Anil Yado ne October 2018 mein Surat mein 3 saal ki bachi ki esmatraizi ki thi aur phir baad mein usay qatal kar diya tha. August 2019 mein Surat ke Lambayat ilaqay mein saadhay 3 saal ki bachi se esmatraizi ke baad qatal karne walay ko special POSCO Court ne mout ki saza sunayi thi. Is muamlay mein taqreeban 9 mahinay tak samaat jari rahi thi jis ke baad qusoorwar ku phansi ki saza sunai gayi. Bachi waloun ne esmatraizi ke baad qatal karne walay Anil Yado ko mout ki saza diye jaane ka mutalba kiya tha.

Wazeh rahay ke 14 October 2018 ki shaam mutasirah bachi apne ghar ke paas khail rahi thi. Tabi isi Building mein rehne wala 20 sala Anil Yado behla poslakar bachi ko uthalay gaya. Wo usay apne kamray mein le gaya jahan masoom bachi ke sath esmatraizi ki aur is ke baad usay qatal kardiya.

Laash ko Plastic Bag mein daal kar ek Drum mein chhupa diya. Pakdaye jaane ke dar se wo 15 October ko apne kamray mein tala lagaakar faraar hogaya. Police ne jaanch shuru ki. Pata chala ke Anil Bihar mein hai. Police wahan gayi aur is ke aabadi rahaish gaah se usay giraftar kiya. Khusoosi tafteeshi Team ne sirf 1 mahinay mein is ke khilaaf Charge Sheet daakhil ki. Samaat poori honay ke baad Court ne usay mujrim qaraar diya tha aur phir mout ki saza sunai thi. –YTN STAFF