Saturday, April 27, 2024
HomeIndia3 Rafael tayyaray ki anqareeb aamad mutawaqqa

3 Rafael tayyaray ki anqareeb aamad mutawaqqa

New Delhi: Mashriqi Ladakh mein China ke sath jari tanaza ke darmiyan Air Force ko France se mazeed 3 Rafael ladaka tayyaray milnay walay hain, Jis se is ke paas majmoi tor par 8 Rafael tayyaray hojaven ge. Zaraye ke mutabiq fazaiya ko 5 November ko France se mazeed 3 Rafael ladaka tayyaray milnay jarahay hain jis se fazaiya ke bairay mein Rafael tayyaron ki tadaad 8 hojaye gi kyunkay usay pehlay hi 5 tayyaray fazaiya mein shamil ho chuke hain. Un tayyaron ko anbalh Air Force Station mein munaqidah ek taqreeb mein wazeer difaa Rajnath Singh aur un ke Francesi hum mansab ki mojoodgi mein Air Force ke bairay mein shaamil kiya gaya tha.

Hindustan ne 2016 mein France ke sath taqreeban 59000 crore rupiye ke 36 Rafael tayyaron ke muahiday par dastakhat kiye. Fazaiya ko rawan mah mein 4 se 5 Rafael tayyaray faraham karna thay lekin kuch takneeki wajohaat ki wajah se is ki farahmi nahi hosaki aur ab 5 November ko 3 tayyaray Air Force ke hawalay kardiye jayen ge. Rafael ke fazaiya ke jungi tayyaron ke bairay mein shaamil honay se fazaiya ki taaqat aur jung ki taaqat dono mein izafah huwa hai. Fazaiya ko ek taweel arsay se ladaka tayyaron ki qillat ka saamna hai aur is ke Squadron ki tadaad mein kaafi had tak kami waqay hui hai. Rafael tayyaron ki aamad ke baad yeh daawa kiya ja raha hai ke fazaiya kisi bhi sorat-e-haal se back waqt 2 mahazon se nimat sakti hai.