Tuesday, May 13, 2025
HomeTrending News3 hazaar tasaveer ghar mein saja diya

3 hazaar tasaveer ghar mein saja diya

Riyadh: Har kisi ko apni sarzamen aur ilaqay aur mulk se mohabbat hoti hai lekin is ke izhaar ke tareeqay mukhtalif hain. Saudi shehri aur Squat commander Rabee Mohammad Al Zharani ne Al Bahah mein apne qarye se pyar ka izhaar 3 hazaar yaad gaar tasaveer ka guldasta pesh karkay kiya hai.

Media se guftagu karte huve Rabee Mohammad Al Zharani ne kaha ke photography se bachpan se lagao hai. Tasaveer ko mehfooz karna mashgala hai. Kuch loog tasaveer ki Album tayyar karte hain. Mojooda daur mein photography aur tasaveer ko mehfooz karna aasaan ho gaya hai.

Al Zharani ne mazeed kaha hai ke guzashta mahinou mein coronavirus ko phelne se rokne ke liye hifazati iqdamaat ke douran sab gharroun mein thay. Ye mauqa munasib jana aur qadeem tasaveer ka khazana khangalna shuru kiya. 3 hazaar se ziyada tasaveer ka intikhab apne ghar mein saja diya.

Ye tasaveer Bahah shehar ke shumali qerye Balda Al Rabyan mein mukhtalif auqaat mein hone wali taqrebaat ki numainda hain. Bachpan se khandani o degar taqrebaat, Ranga rang sar garmioun aur qirye ke logoun ki tasaveer jama karta raha hon.

Rabi Mohammad Al Zharani ne hazaroun tasaveer apne Computer ki Hard disk mein bhi mehfooz kar rakhi hain. Curfew ke douran un tasaveer ka intikhab apne ghar ke ek baday hall mein saja diya. Qarye ke loog apni bholi besri yaden taaza karne ke liye ye tasaveer dekhne atay rahay aur ab bhi aa rahay hain.

Saudi shehri ne mazeed kaha hai ke darasal ye tasaveer shehar ke marhala bah marhala irtiqa ka mun boltaa saboot hai. Ye apni noiyat ka munfarid tajurbah hai. Usay social media par bhi pasand kiya ja raha hai. Corona ki waba ke khatmay ke badan tasaveer ki baqaida numayesh ka bhi iradah rakta hai.