Saturday, May 18, 2024
HomeIndia26 December ki subah is saal ka aakhri Sooraj Grahan hoga

26 December ki subah is saal ka aakhri Sooraj Grahan hoga

New Delhi: Is saal ka aakhri Sooraj Grahan 26 December ko honay ja raha hai. Hindustani waqt ke mutabiq, ye Grahan subah 8 bajey se shuru hoga aur 10 baj kar 57 minute tak rahay ga. Ye ek salana shamsi Grahan hoga, Jo hindostan sameit Australia, philippine, Saudi Arab aur Singapore jaisay mulkoun mein dekha ja sakta hai.

Is se qabal is saal ke shuru mein juzwi shamsi Grahan 6 January aur 2 July ko hua tha, Lekin ye is saal ka mukammal Sooraj Grahan hai. Hindostan mein Sooraj tulu honay ke baad, Sooraj Grahan mulk  ke janoobi hissay, Karnataka, Kerala aur Tamil Nado ke kuch hissoun mein dekha jayega, Jabkay mulk ke degar hissoun mein bhi juzwi tor par Sooraj Grahan dekha jayega.

Ittila ke mutabiq, Agla Sooraj Grahan 21 June 2020 ko hindustan mein nazar aeyega. Ye Circular Sooraj Grahan hoga. Ye mukammal Sooraj Grahan hoga. Hindostan mein tulu aftaab ke baad, Usay janoobi hissay mein dekha ja sakta hai. Taham mulk ke dosray hissoun mein usay juzwi shamsi Grahan ke tor par dekha jayega. –YTN STAFF