Friday, March 29, 2024
HomeOthersHealth24 Ghantoun mein Corona ke 1200 namonoun ki jaanch karne wali Machine

24 Ghantoun mein Corona ke 1200 namonoun ki jaanch karne wali Machine

New Delhi: Mulk mein coronavirus jaanch ki tadaad 20 lakh poanch chuki hai. Ab rozana taqreeban 1 lakh sample ka test kiya ja raha hai. Ye test 504 sarkari aur khangi Lab mein kiya ja raha hai. Alawa azeen corona ki ziyada jaanch ke liye COBAS 6800 machine layi gayi hai. Jisay NCDC yani National Centre for Disease Control in Delhi ko sahet ke markazi wazeer Dr Harsh Vardhan ne hukkaam ku sompdi. Hindustan mein ye apne aap mein corona test ki pehli khaas machine hai.

NCDC center mein is machine ke zareya ab jaanch ki jaye gi. Is machine se 24 ghantay mein 1200 sample test ho sakenge. Jis se ek sath kayi sample test ho satke hain. Is machine ke pesh e nazar zair iltiwa muamlay bhi khatam ho jayenge. Machine ko NCDC ko somp te huve dr Harsh Vardhan ney kaha ke ye machine Robotics se lais hai. Jis se health Care Workers ko Infection ka khatrah nahi ho ga. Test bhi ziyada tadaad mein nateeja kam waqt mein aa jayega.

Machine ko testing ke liye kam az kam BSL2 aur Control level ke Lab ki zaroorat hoti hai. Usay kisay bhi Facility par rakha nahi ja sakta hai. Ye machine Viral Hepatitis B and C, , HIV, Mtb, Papilloma, CMV, Chlamadiya, aur Neiserreia jaisi alamaat ka bhi pata laganay mein ahal hai. Khayaal rahay ke mulk mein coronavirus COVID-19 infection ke mamlaat mein bhallay hi un dinoun izafah ho raha hai, Lekin achi baat ye rahi hai ke corona infection ke muamlay dugna honay ki sharah guzashta 3 dinon mein badh kar 13.9 din hogayi hai aur is se pehlay 14 din tak ye sharah 11.1 din thi. Is ke alawa corona ke mareezoun ke theek honay ki sharah bhi badh kar 33.6 feesad hogayi hai. –YTN STAFF