Saturday, May 11, 2024
HomeExclusive23 May ya 17 Ramadan Hindustan ke naye Wazir-e-Azam ke mutaliq musalmanoun...

23 May ya 17 Ramadan Hindustan ke naye Wazir-e-Azam ke mutaliq musalmanoun ka nek faal

Hyderabad: Hindustan main aam intikhabaat 2019 ki tafseelaat election commission ki janib se jari kardi gayi hain aur hindustan bhar mein 7 marahil mein intikhabaat honge jis ke baad 23 May ko Hindustan  ke aglay Wazir e Azam ka faisla hoga.

Intikhabaat ke tawareekh ka elaan karte hi barsare iqtedaar BJP ke alawa hukoomat par wapsi ke liye pur-umeed nazar aa rahi, Hindustan ki qadeem jamaat congress bhi apni tayyariyan shuru kar di hain.

2019 ke aam intikhabaat ke mutaliq mahireen-e-siyasat aur panditoun nr apni apni paish qiyasiyan jari kar di hain jis mein aik janib reyasti partiyoun ko ahmiyat haasil hone ke alawa ilm-e- najoom ke mahireen ne Narendra modi ke dobarah Iqtidaar par aane ke imkanaat ko mustard kardiya hai.

Intikhabaat ke talluq se mukhtalif jamaatoun ki kamyabi aur nakamiyoo se qata nazar aakhri teen marahil ke haq raye se istifada ke liye mahe mubarak ramdhan mein intikhabaat ko na karwane ka mutalba bhi zor pakadh raha hai.

kayi siyasi numaindoun aur mazhabi tanzeemoun ne election commission se mutalba kiya hai ke ramdhan ke douran teen marahil ke jo intikhabaat 6, 12 aur 19 May ko munaqqid shadni  hai un tawareekh par nazr-e-sani ki jaye.

Election commission ki janib se jin tawareekh ka elaan kiya gaya hai un mein 6, 12 aur 19 May ramdhan mein aarahe hain jabke un tawareekh mein jin reyastoun mein haq raye dahi hogi woh Bihar, Dehli , Haryana , Himachal pradesh, Jammu & Kashmir , Jharkhnd, Madhya Pradesh, Punjab , Rajasthan, Uttar Pardesh aur West Bengal hain.

Agar in reyastoun ka gehra  mutalia kiya jaye to Bihar, Dehli , Haryana , Himachal pradesh, Jammu & Kashmir , Jharkhnd, Madhya Pradesh, Punjab , Rajasthan, Uttar Pardesh aur West Bengal ke alawa Jammu & Kashmir mein muslim raye dahindun ki ek kaseer tadaad moujood hai.

Ek janib jahan siyasi jamaatoun aur mazhabi tanzeemoun ki janib se ramdhan mein election na karwane ka mutalba kiya ja raha hai to doosri janib BJP aur is ke bhagat ramdhan mein election ko mutanazia mauzo na bananae ki baat kar rahe hain. is zamn mein BJP ke qaumi tarjuman Shah Nawaz Hussain ne jo mantaq pesh ki hai woh mazhaka khaiz hai kyun kay unhoun ne –apne bayan mein kaha ke intikhabaat ke douran Navratri bhi aa rahi hai aur Navratri ke douran hindu bradri bhi roza rakhti hai to phir musalmanoun ko ramdhan mein intikhabaat ko mutanazia nahi banana chahiye.

Shah Nawaz Hussain shayad is haqeeqat se waaqif nahi ya –apne aaqaoun ki khushnudi mein is qadar gum hogaye hain ke inhen musalmanoun aur ghairoun ke roza ka bunyadi farq bhi yaad nahi hai. zehan nasheen ho ke ghair muslim baradri jo roza rakhti hai is mein woh chawal, roti aur saalan se parhez karte hue fruits aur deegar ghizaai ashiya ka istemaal karti hai jabke musalmanoun ka roza khanae peene ke alawa deegar kayi umoor se mukammal parhez ka naam hai.

Ramdhan mein intikhabaat ke mauzo se qata nazar is waqt social media par isi ke tanazur mein ek  bayan ahem hai jo viral ho raha hai woh 23 May ko agle Wazir-e-Azam ke faisle ke din hai aur isi din ramdhan ki mutawaqqa 17 tareekh hai. Aalam-e- islam mein 17 ramdhan ko kayi aitebaar se ahem din tasawwur kiya jata hai. is khsos mein izhaar khayaal karte hue moulana Mohammad Asim nishat ne 23 May aur 17 Ramdhan ki munasibat se intikhabaat ke nataij ke zimn mein kuch bunyadi batoun ki tashreeh kee aur kaha ke 17 Ramdhan tareekh-e-islam ka ek sunehrah din raha hai. is din ko Quran-e-hakeem ne youm-ul-furqan se yaad kiya hai, is din kufr wo islam ka pehla maarka sun-hua hai aur 313 sahaba Ikram ek hazaar hareefoun per ghalib rahe, is din musalmanoun ko azeem-us-shan aur lasani fatah haasil hui hai, isi ke tanazur mein muslmanan-e-hind ye umeed kar sakte hain ke inhen aisi hukoomat naseeb hogi jo un ki khuli dushman aur Islam musalmanoun ko nuqsaan pohanchanae mein pesh pesh nahi rahe gi, Islam mein faal nek aura cha shagun lane ke zimn mein moulana ne kaha ke is ki ijazat islam ne di hai ke Allah se kisi cheez ke liye achi umeed lagai ja sakti hai. 17 Ramdhan ki munasibat se is martaba Hindustan mein musalmanoun ke liye mawafiq hukoomat ki umeed bhi ki ja sakti hai.

By ( Mohammad asim nishat )