Saturday, May 18, 2024
HomeIndia2022 tak Parliament house ki nai imarat ki taamer ki jayegi :...

2022 tak Parliament house ki nai imarat ki taamer ki jayegi : Modi

New Delhi : Wazeer-e-azam Narendra Modi  ney peer ko kaha ke 2022 tak parliament house ki nai imarat ki taamer amal mein layi jayegi. woh yahan north bock mein arkaan-e-parliament ke liye nou taamer shuda duplex apartments ki iftitahi taqreeb se khitaab karte hue yeh baat kahi.

Modi  ney wasti Dehli ke north avenue mein arkaan-e-parliament ki rahaish ke liye 36 duplex flats ka iftitah kiya , jo 1951-52 mein taamer shuda is se pehlay ke apartments ko munhadim karke taamer kiye gaye hain. naye flats ki taamer do saal ki taye shuda tareekh se mukammal kiya  gaya hai.

Unhon ney kaha ke yeh mehsoos kiya ja raha hai ke parliament house ki imarat ko apni khubsurti zahir karne ke liye jadeed sahuliyaat se aaraasta karkay ek nai shakal dainay ki zaroorat hai. aur Hinudstan ki 75 saal poorey honay ke mauqa par ek nai imarat ki taamer ki jasakti hai.

Naye Duplex flats ka sang bunyaad is waqt ki lok sabha speaker Sumitra Mahajan ney rakha tha. ittifaqi tor par, 4 saal qabal, mahajan ney sab se pehlay Hindustani parliament ke liye ek nai imarat ki tayari ki thi.

Decemeber 2015 mein, mahajan ney is waqt ke markazi shehri taraqiyati wazeer M Venkaiah Naidu ko khat likha tha, jis mein unse paparliament liment ki nai imarat ki taamer ke iqdamaat shuru karne ko kaha tha.

Mahajan ney istedlaal kiya  tha ke mojooda parliament ki imarat ke andar amlay, Security ehalkaron, maidara numaindon aur parlimani sir-gar-miyan 1927 mein commission shuru hua tha, is waqt se ab kayi guna izafah hogayi hain. unhon ney parliament complex aur Rajapth ke is paar, do imaarton ki taamer ki tajweez paish ki thi.

Lok sabha ke mojooda speaker Om Birla ney bhi is mah ke shuru mein parliament ki nai imarat ki zaroorat ke barey mein baat ki thi. 10 August ko yahan press conference se khitaab karte hue unhon ney kaha tha ke parliament ki nai imarat ki taamer par ghour kiya  ja raha hai, lekin abhi is muamlay par hatmi faisla kiya  jana baqi hai.

Moujooda parliament ki imarat ka design Britain maimaar Edwin Lutyens aur Herbert Baker ney banaya tha. imarat ki taamer ka kaam 1921 mein shuru hua tha aur 6 saal baad mukammal hua tha. Hinudstan ki azaadi se qabal, is imarat ko Emperial qanoon saaz council ke liye istemaal kiya  jata tha. –YTN STAFF