Europe ke daura ke douran Amrici Sadar ka kehna hai ke woh do barson mein dobarah muqaabla karen ge aur unhen musabqat ka koi khadsha nahi hai.
Washington: Amrici Sadar Donald Trump ne tauseeq kar di hai ke dobarah sadarati daud mein shaamil hon ge, un ka kehna hai ke un ki danist mein koi sakht muqaabla ki tawaqqa nahi hai, koi nahi hai jo mujhe shikast day sakay. Aik interview mein Amrici Sadar Donald Trump ne 2020 ka bhi election ladnay ka elaan karte hue kaha ke har koi mujhe dobarah Sadar dekna chahta hai jab ke hareef jamaat mein koi aisa umeed waar nazar nahi aata jo mera muqaabla kar sakay. social Media ke istemaal ke baarey mein Amrici Sadar ka kehna tha ke jaali khabron ke khilaaf twitter behtareen hathyaar hai aur is se baat barah e raast awam taq pohanchti hai. Sadar Trump ne mazeed kaha kay woh duniya mein aman chahtay hain, shumali Korea aur roos ke sath taluqaat is baat ka saboot hain taham hamein Amrici mafaad ke liye bhi kaam karna hai