Duniya bhar se aaye hue 20 lakhs se ziyada Bandgaan e Haq Hajj ke rukn e Azam wuqoof Arfa ki takmeel ke baad Muzdalifa rawana hogaye hain jahan woh Maghrib aur Isha ki namazain ikathe ada kiye hain aur phir khulay aasman taley raat guzaraian ge. Iss se pahelay unhon ne Makkah Murkrama ke nawah mein waqay Midanِ e Arfat mein khutba e Hajj samaat kya aur naveen Dhul-hijja ka Sooraj dhalnay tak wahein qiyam kya. Masjid e Nabwi ke imam Mufti e Azam Dr. Sheikh Hussain bin Abdul Aziz Al- as Sheikh ne khutba Hajj mein Musalmanoon par naik aamaal aur akhlaq e husnah apnane aur unhein bure kamon se bachney ki talqeen ki hai. Unhon ne kaha ke hamein apni siyasat aur mayishat ko Islami talemaat ke mutabiq dhaalne ki zaroorat hai. Hujjaj karaam Muzdalifa mein raat qiyam ke baad mangal ko wapas Mina chalay jayen ge jahan woh shaitan (jmrat) ko kankariyan maarny ki sunnat ada karen ge aur is ke baad janwar qurbaan karen ge. Yeh amal teen roz tak jari rahe ga. Iss dauran mein Hujjaj karaam apne sar mundhwaiyen ge aur Kabatullah ka aakhri tuwaf ”tuwaf zyarah” karen ge aur yun un ke manasik e Hajj ki takmeel hojaye gi. Yaad rahay ke Hujjaj karaam Jabal e Arafat se namaz Zuhar aur Asar ada karne ke baad rawana hue thay aur woh kharamaan kharamaan chaltay hue 7 kilometers ka faasla taiy karkay Muzdalifa pahunch chuke hain. Saudi hukoomat ne Hajj infrastructure ke tehat guzashta barson ke douran mein Arafat se Muzdalifa taks makhsoos rastay aur shahrahin bana di hain taakay Hu jjaj karaam ba aasani paidal safar kar saken. Baaz Hujjaj zaati gadiyon ya basoon ke zareya bhi yeh safar taiy kiye hain. Taham ziyada tar paidal hi Arafat se Muzdalifa pahonche hain.