Thursday, July 10, 2025
HomeHyderabad2 Wheeler Par Chatri Nasb Karne Ke Rujhan Mein Tezi Se Izafah

2 Wheeler Par Chatri Nasb Karne Ke Rujhan Mein Tezi Se Izafah

Hyderabad: Mausam-e-Garma apne urooj par pohanch chuka hai aur dopehar ke waqt shehar ki sadkain sunsaan sehraa ka manzar-e-paish kar rahi hain aur khaas kar 2 Wheeler ki gaadi par kisi bhi haal mein sakht dhoop mein bahar nikalne walay musafireen ke liye masail aur sangeen ho rahay hain kyunkay shadeed dhoop mein un ka bahar niklane intahi zurori bhi hai jin mein kuch log mulazmat aur kuch log apni tijarat ko jari rakhtay hain. shadeed dhoop mein 2 Wheeler ki gaadi ke liye tayyar ki jaane wali chatri in dinon kaafi maang mein hai. shadeed dhoop aur anay walay barsaat ke paish-e-nazar 2 Wheeler ki gadiyoun par chatri nasb karne ka rujhan taizi se badh raha hai .

Shehar ke mukhtalif automobile dukanein 2 Wheeler ki gadiyoun ke liye Chathriyoun ka stock rakhnay ke alawa gaadi ki munasbat se usay nasb karne ka intizam bhi kar rahi hain. mukhtalif maqamat per automobile ki dukanon mein 2 Wheeler ke liye Chathriyan dastyab hain jo ke online order karne par 1500 ta 3000 rupiye ke darmiyan faraham ki ja rahi hain lekin agar koi khwahish mand dukaan pohanch kar yeh chhatri khareedna chahay to iski qeemat 1000 taa 2000 rupay ke darmiyan ada karni padh rahi hai. online order karne mein yeh nuqsaan bhi zaroor hai ke jo chatri order ki gayi hai woh gaadi ki munasbat se behtar saabit nah ho lehaza awam ki aksariyat dukaan pohanch kar apni gaadi par chhatri nasb karne ko ahmiyat day rahay hain jis ka ek faida yeh hai ke qeemat bhi kam hogi aur gaadi ki munasbat se yeh chhatri sahih nasb bhi hogi .

2 wheelers ki gadiyon par dhoop aur barsaat se bachney ke liye nasb ki jaany wali Chathriyoun ke faiday aur nuqsanaat dono hi mojood hain kyunkay jab yeh chhatri nai nai nasb ki jati hai to is ka faida hota hai ke musafir taiz dhoop aur barish se khud ko mehfooz rakh sakta hai lekin 6 aur 8 mah ke baad jab chhatri mein istemaal kya jaany wala material joke plastic ya Rexine ka hota hai yeh jab dhundlaa padta hai to is se samnay ka nazarah saaf dikhayi nahi deta. is ka dosra nuqsaan yeh bhi hai ke taiz hawa se gaadi chalatay waqt tawazun barqarar rakhna kisi qader mushkil hota hai. is shadeed dhoop se bachney ke liye awam apne 2 wheelers ki gaadi par chhatri nasb karne ko ahmiyat day rahay hain taakay mausam-e-garma ki shiddat ke baad aindah chand mah barish se bhi bacha jasakay. umeed ki jarahi hai ke yeh juz waqti mansoobah anay walay barson mein gadiyaan bananay wali companiyon ki janib se khud ek mustaqil hal ke tor par paish kya jaye ga . –YTN STAFF