New Delhi : Rajasthan ke Alwar ki ek zilai adalat ney pehlu Khan Mob Lynching muqadma ke tamam 6 mulzimin ko Chaharshambe ke roz bari kar diya. Alwar mein additional district judge ki adalat ney faisla sunaya.
wazeh ho-ke Haryana ke Nooh mewat zila ke rehaishi, 55 sala pehlu Khan , Ramadan ke liye doodh ki paedawar badhaane ke liye maweshiyon ki kharidari ke liye gaon ke bahar gay they. 1st April 2017 ko Jaipur se do gaaye khareed kar apne ghar le ja rahay they. shaam qareeb saat bajey Highway se agay niklne par hujhoom ney gaadi rukwaya aur Delhi – Alwar highway par Gao-rakshak ke hujhoom ney pehlu Khan aur unke do betoun ko gher liya tha, gayyon ki smuggling ke shobah mein pehlu Khan aur unke betoun ki pataayi ki.
Pehlu Khan ney maweshion ki kharidari ki raseed dekhakar bachney ki koshish ki thi, magar hujhoom mein shaamil afraad ney usay lathyon se peeta tha. ilaaj ke douran pehlu Khan ki hospital mein mout hogayi thi.
Chaharshambe ko adalat ney faisla diya. yeh keh kar ke Mob Lynching ki video, jo waqeye ke baad viral hui thi, qabil-e-aitraaf saboot nahi hai. pehlu Khan ka talluq meo muslim baradri se tha. meo panchayat ke sarbarah, sher Mohammad ney kaha ke woh is faislay ke khilaaf high court mein appeal karenge.
Mazkoorah Mob Lynching muqadmay ki samaat 7 august ko ekhtataam Pazeer hui aur 40 se zayed gawahan, jin mein pehlu Khan ke do betay bhi shaamil they, jo waqeye ke din iske sath they, ko case mein mazool kar diya gaya tha. un 6 afraad ke khilaaf taazeerat hind ki mukhtalif daf-aat : 143 ( ghair qanooni assembly ), 323 ( raza karana tor par chooth pohanchanay walay ), aur 341 ( ghalat policy ) ke tehat FIR darj ki gayi thi.
Is muqadmay mein jumla 9 mulzimaan hain, jin mein do kam sun bachay bhi shaamil hain. Ek mulzim ki mout baad mein hui thi, jabkay un mein se 6 mulzimin ko ilzamaat se bari kardiya gaya, dono na baligh mulzimaan ko nou Umar adalat mein ilzamaat ka saamna hai.
Bata dein ke ”saal 2019 mein mulk bhar mein gaaye ke naam par tashadud ke qareeb 8 waqeye ho chuke hain. yeh nah sirf Haryana, balkay Karnatak, Assam, Jharkhand, Madhya pradesh, UP aur Bihar riyaston mein bhi gaaye ke naam par tashadud ho chuke hain. –YTN STAFF