Monday, April 21, 2025
HomeLatest News2 Hazaar Saal Qadeem Hanuat Shuda Mummies Aur Choohe Daryaft

2 Hazaar Saal Qadeem Hanuat Shuda Mummies Aur Choohe Daryaft

Qahira:  Misar ke ilaqay Sohag ke maqbare se 2 hazaar saal qadeem Hanuat shuda Mummies aur darjanoun choohay daryaft hue hain. report ke mutabiq baraamad honay wali do mummies ke atraaf mein Hanuat shuda choohay sameit deegar chhootey janwar tarteeb se rakhay hue they .

Pathar ke taboot se mutadid fun paaray bhi bar aamad hue jin mein kafan dafan ke tareeqay wazay kiye gaye they. Aasaar-e-Qadima ke mahireen ke bamuwajib maqbarah taqreeban 2 hazaar saal qadeem hai. maqbare is waqt daryaft hua jab october mein Smugglers ghairqanooni tor par nawadiraat ke husool ke liye khdayi kar rahay they. Aasaar-e-Qadima ki supreme council ke secretary general Mustafa vaziri ney kaha ke baraamad honay wala maqbarah bohat khubsurat aur rang biranga hai jo ab tak honay wali kayi daryaft ke muqablay mein qabil tavajja hai. naye maqbare ki daryaft se sayaho ke aamad ka silsila jo siyasi Adam istehkaam ke baais mutasirah tha ab behtar hojaye ga .

Khalid alanani ney kaha ke mehakma ki janib se jari ek muhim ke douran maqbare daryaft hue jis ka aaghaz April mein kya gaya tha. wazeh rahay ke is se qabal misar ke junoobi ilaqay saqarah ke qareeb maqbaron se 6 hazaar baras qadeem darjanon billiyon aur bhanwron ki Hanuat shuda lashain daryaft hui theen. qahira ke junoob mein waqay maqam se daryaft ki gayi yeh Hanuat shuda billiyan taqreeban 6 hazaar saal qadeem hain. wazeer baraye Aasaar-e-Qadima Khalid alanani ney kaha hai ke mehakma ki janib se jari ek karwai ke douran maqbare daryaft hue hain aur is karwai aaghaz April mein kya gaya tha .- YTN STAFF