Friday, May 3, 2024
HomeIndia2.5 laakh ki aamdani par koi tax nahi

2.5 laakh ki aamdani par koi tax nahi

New Delhi: Markazi hukoomat ne maali saal 2021-22 ke income tax slab mein koi tabdeeli nahi ki hai lekin 50 laakh rupay se zayed ki aamdani par 10 taa 37 feesad tak tax laganay ka elaan kiya hai.

Wazeer-e-khazana Nirmala Sitharaman ne aaj parliment mein paish kardah finance bill mein mutala kiya hai ke 2.5 laakh rupay tak ki aamdani mukammal tor par tax se pak hogi. 2.5 laakh se 5 laakh rupay tak ki aamdani par 5 feesad, 5 laakh se 10 laakh rupay tak ki aamdani par 20 feesad aur 10 laakh se zayed aamdani par 30 feesad jo pehlay ki tarhan hi barqarar hai. 60 taa 80 saal Umar ke ma-umar afraad ko teen laakh rupay tak aur 80 saal se ziyada Umar ke Umar Raseedah afraad ko paanch laakh rupay tak income tax ki chhuut di jayegi. Badi aamdani walay afraad par tax ka boojh daaltay hue sircharge aaed kiya gaya hai.

50 laakh rupay se ziyada aur ek crore rupay tak kamanay walon ko income tax par 10 feesad sircharge ada karna hoga.

sircharge ek crore rupay se ziyada aamdani ke liye 15 feesad aur 2 crore rupay aur 2 crore rupay se zayed aamdani ke liye 25 feesad aur 5 crore rupay tak hoga. 5 crore rupay se ziyada salana aamdani walay afraad ko income tax ke sath 37 feesad izafi charge bhi adakarna hoga.

Agar kaasht karon ke paas zaraat ke sath aamdani ka dosra zareya hai aur zaraat se haasil honay wali aamdani paanch hazar rupay aur dosray zaraye se haasil honay wali aamdani dhai laakh rupay se ziyada hai to unki qabil mehsool aamdani ka hisaab laganay mein zaraat se haasil honay wali aamdani bhi shaamil ki jayegi. Iske alawa ma-umar shehrion ko income tax goshwaray jama karwanay se istashna rakha gaya hai jinki aamdani ka wahid zareya Pension aur bank se sood hai.

Wazeer-e-khazana Nirmala Sitharaman ne kaha ke tax badhaane ke bajaye hukoomat ki tawajah tax ada karnay walon ki tadaad badhaane par hai.

Guzashta saal tax jama karne walon ki tadaad 6.48 crore hogayi jo isse qabal 3.31 crore thi.