Sunday, May 19, 2024
HomeIndia17th Ween Lok Sabha ka halaf bardariyon ke sath phela ijlaas

17th Ween Lok Sabha ka halaf bardariyon ke sath phela ijlaas

New Delhi: Lok Sabha ke 17 win marhalay ka pehla ijlaas 9 muntakhib arakeen ki halaf bardari ke sath shuru hogaya. Aboori Speaker Virendra kumar ney ewaan zaireen ke naye qanoon sazoon ko halaf dilaya. Wazeer e Azam Narendra Modi ney jo ewaan ke rehnuma bhi hain, sab se pehlay halaf liya. Unhon ney Hindi mein halaf liya. Modi ki halaf bardari ke baad Kodikunnil Suresh (Congres ) (BJD) aur Brij Bhushan Sharan Singh (BJP) ney halaf liya. Mehtaab ney Odisha zabaan mein halaf liya. Is ke baad markazi Vazeeron mein Rajnath Singh, Amit Shah, Nitin Gadkari aur dosaron ney halaf liye.

Modi jab ewaan mein daakhil huwe to Mooi Modi ke naaron se un ka istaqbaal kiya gaya aur jab woh halaf lainay ke liye pukare gay to aik baar phir mizin thap thap pokar aur Modi Modi ke naaron ke zareya un ka khermaqdam kiya gaya. Ijlaas ke aaghaz se qabal Modi ney tamam arakeen ki awleen saf ke samnay se guzarte huwe unhon ney sab ka khermaqdam kiya aur Oppostion ke halqay mein bhi gay jahan unhon ney Congress ki sabiq saddar Sonia Gandhi ko haath joor kar aadaab kya.

National Conference ke Dr Farooq Abdullah se musafah kiya, Samajwadi Party ke rehnuma Mulayam Singh se bhi miley. Ewaan aaraasta honay ke baad aboori Speaker Virendra kumar ney tamam no muntakhib arakeen ko mubarakbaad di aur kaha ke inhen bharosa hai ke arakeen zimma daarana tor par apne faraiz anjaam den ge. Digar halaf lainay waloo mai markazi wazeer Dr Harsh Vardhan, Ashwini Kumar Choubey aur Shripad Naik ney Sanskrit mein halaf liye. Amithi mein Congress ke saddar ko shikast dainay wali Smriti Irani ney jab halaf liya to is waqt hukmran halqay ke arakeen Bashmole wazeer e Azam ney mizin thap thap paye.

Film adakar aur Punjab ke Gurdaspur se BJP ke rukan Parliment Sunny Deol subah taqreeban 11 bujey parliment puhanche. Unhon ney haath halakar wahan mojood logon ka shukriya ada kiya aur Lok Sabha ke andar chalay gay. Madhya Pradesh ke Cheif Minister Kamal Nath apne rukanParliament betay Nukal Nath ke sath Parliament puhanche. Nukal Nath Chhindwara lok sabha halqay se jeet haasil karkay parliament puhanche hain. Unhon ney bhi haath halakar logon ka shukriya ada kya. Is ke baad Punjab ke Singur se Aam Aadmi Party ke rukan parliament Bhagwant Mann Puhanche. Unhon ny unglio se jeet ka nishaan banakar taswerain khinchwayin.

Cricketer se siyasat daan ban’nay aur mashriqi Dehli se BJP ke rukan parliament Gautam Gambhir safaid karte pajamay mein sajay dahje nazar aeye. All India Majlis Ittehadul Muslimeen ke rukan parliament Asaduddin Owaisi ney jeet ke liye apne Lok Sabha halqay Hyderabadi awam ka shukriya ada kiya. BJP rukan parliament ney jeet ke liye logon ka shukriya ada kiya. BJP rukan Parliament Ravi Kishan bhi halaf bardari taqreeb ke liye puhanche. Modi ney kaha mujhe yaqeen hai ke hamaray ewaan pehlay ke muqablay mein ziyada muasar rahen ge aur awam ke mafaad ke kamon mein ziyada tawanai, ziyada raftaar aur ziyada ijtimai koshish ke jazbay ko mauqa miley ga.

Unhon ney kaha ke ewaan mein kayi rukan bohat hi achay khayalat rakhtay hain, behas ko bohat mayaari banatay hain lekin ziyada tar woh takhleeqi hotay hain. Agar Parliment mein koi rukan hukoomat ki tanqeed bhi bohat mantaqi andaaz mein karta hai aur woh baat pahunchti hai to is mein jamhoriat ko mazbooti millti hai. Unhon ne kaha ke is jamhoriat ko mazboot bananay mein bohat tawaquaat hain. Shuru mein to zaroor un tawaquaat ko poora karen ge lekin paanch saal tak is jazbay ko mazboot bananay mein bohat bara misbet kirdaar ada kar saktay hain. Wazeer e Azam ney kaha aap ko bhi dawat deta hon ke 17 win lok sabha mein hum isi nai tawanai, naye yaqeen, naye azm, naye khowaboon ke sath sath mil kar agay chalein. Mulk ke awam ki umedon aur tawaquaat ko poora karne mein hum kahin kami nah rakhen. Isi yaqeen ke sath aap sab ka bohat bohat shukriya.