Hyderabad : Indian Hajj and Umrah Expo 2019 ko 12 aur 13 october ko, ke LCC convention hall, Shamshabad mein munaqqid kiya jayega, taakay khidmat muhaiya karne walon, hotels, Travels agencies aur deegar ko karobari salahiyaton par tabadlah khayaal karne ke liye ek jagah jama hosakein.
Chaharshambe ko Hyderguda NSS mein media numaindon se baat karte hue CEO Mohammad Taqi ne kaha ke taqreeban 45 companiyon Bashmole ”Travels agencies, hotels, IT service kandgan, Umrah groups, mobile companiyon, transport aur catering companiyon ki is programme mein shirkat mutawaqqa hai.
Expo mein hissa lene wali companiyon mein se 25 companiyon ka talluq Saudi arab se hai aur 20 hindustan ke mukhtalif shehron se honge. mazkorah programme ki mukhtalif reyasti anjumanoun aur unions ki janib se taied ki gayi hai.
unhon ne kaha ke Expo mein companian apne stall lagayengi aur Expo ke douran mukhtalif technical aur strategic umoor par tabadlah khayaal kiya jayega. mandoobeen ke liye seminar aur workshops ka ineqad kiya jayega. jis mein Hajj wo Umrah ke safar mein aaney walay zaireen ko behtar khidmaat ki farahmi ke mukhtalif imkanaat par tabadlah khayaal kiya jayega. –YTN STAFF