Saturday, April 20, 2024
HomeIndia100 Se Ziyada Arkaan-E-Parliament Ko Fouj-Daari Muqadmaat Ka Samna

100 Se Ziyada Arkaan-E-Parliament Ko Fouj-Daari Muqadmaat Ka Samna

New Delhi:  Lok sabha ke intikhabaat ki tayyariyan urooj par hain lekin 521 mojooda Arkaan-E-Parliament mein 83 feesad aisay qaideen hain jin ke asasa jaat mein unhoun naay khud ko crore patti zahir kiya hai aur un mein bhi 33 feesad aisay qaideen hai jin ke khilaaf fouj-daari muqadmaat darj hain.

Intikhabaat par qareebi nazar rakhnay wali tanzeem ADR naay Arkaan-E-Parliament ki janib se daakhil kardah halaf naamoun ko bunyaad bana kar jo tijzyati report shaya ki hai un mein 2014 ke lok sabha intikhabaat mein muntakhib honay walay 543 rukan parliment mein 521 arkaan naay apne halaf naamoun mein shakhsi tafseelaat faraham ki hain aur un mein 430 aisay arkaan hain jin ki jayedadein crores mein hai, is tarhan 83 feesad Arkaan-E-Parliament crorepati hain jin mein bhi 33 feesad arkaan ke khilaaf fouj-daari muqadmaat darj hain .

Jin arkaan ke khilaaf fouj daari muqadmaat darj hain un mein bhi 227 ka talluq barsar iqtedar jamaat BJP se hai jabkay congress ke 37 qaideen ke khilaaf bhi fouj daari muqadmaat darj hain. mojooda Arkaan-E-Parliament ki janib se daakhil kardah halaf naamon mein jo jayedadein zahir ki gayi hain is mein ausatan har rukan-e-parliment ke naam 14.72 crore rupay darj hain jab ke 32 aisay arkaan hain jin ki jaedad 50 crore se zayed hai .

Doosri janib sirf do aisay arkaan-e-parliment hain jinki asasa jaat paanch laakh rupiyoun se kam hai. halaf naamon mein yeh bhi zahir hua hai ke 33 feesad qaideen ke khilaaf fouj daari muqadmaat darj hain jin mein bhi 106 arkaan aisay hain jin ke khilaaf sangeen noiyat ke muqadmaat darj hain, jin mein qatal, qatal karne ki koshish, firqa waranah fasadaat, aghwa aur khawateen ke khilaaf kiye jaane walay jaraim darj hain. 10 qaideen naay apne khilaaf qatal ke muqadmaat ke darj honay ka bhi inkishaaf kiya hai aur un mein 4 ka talluq BJP se aur fi kas ek ka talluq INCNCPLJPRJD se hai .

Jin 14 moujooda arkaan-e-parliment naay apne khilaaf qatal ki koshish ka muqadma zahir kiya hai un mein bhi 8 ka talluq BJP se hai jab ke ek ka talluq Shivsena se bhi hai. 14 aisay arkaan-e-parliment bhi hain jinhoun naay apne khilaaf firqa waranah muqadmaat ki tafseelaat faraham ki hain jin mein bhi 10 ka talluq barsar iqtedar BJP se hai jabkay TRS, PMK , AIMIM aur AIDUF  ke fi kas ek rukan bhi is fehrist mein shaamil hai .

 

 

 

 Y THIS NEWS STAFF