Monday, May 20, 2024
HomeSlider1 Arab Dollars se taamer honay wali Zabeel One imarat Dubai mein...

1 Arab Dollars se taamer honay wali Zabeel One imarat Dubai mein tawajah ka markaz

Dubai: Dubai shehar munfarid tarz taamer aur fallak bose ( Aasman ko chothi ) Imaratoun se aarasta shehar ki wajah se duniya bhar mein shohrat rakhta hai. Burj Al Arab aur Cayan Tower apne munfarid design ke hawalay se mashhoor hain. Mustaqbil ka Museum ( Mathaf Almustaqbil ) Aankhh ki shakal mein logoun ki tavajja apni janib mutwajjah karta hai aur ab Dubai mein jald un munfarid imaartoun mein ek aur khobsorat fallak bose imarat ka izafah honay wala hai. Duniya ke sab se buland town towers ( one Zabeel ) par 1 Arab Dollar laagat aaye gi. ye angrezi harf each ki shakal mein Dubai Commercial zone ke oopar taamer hoga. Usay Japan ki maroof company Nikken Sekkei ne design kiya hai.

One Zabeel ke ek tower ki oonchai 300 meter aur dosray ki 235 meter hogi. Dono towers ek stand par tamer kiye jarahay hain. Dono ko 228 meter lambay foladi pool se joda jaye ga. Fallak bose Twin towers ko jodnay walay Pool ko di link ka naam diya gaya hai. Tower ka ek hissa dono towers se 60 meters se ziyada nikla huva hoga. Ithra Dubai company ke tarjuman ke mutabiq is ka dhancha 9 hazaar ton wazni hoga. Ye zameen ke oopar 25 meter taweel stand par 7 hissoun mein rakha jaye ga. Usay 100 meter ki oonchai par dono towers ke darmain nasb kiya jaye ga.

Ithra  Dubai company ke tarjuman ne mazeed kaha ke ye kaam kaafi paicheeda hai. Is ka mehal wuqoo masroof shahrah ke oopar waqay hai. Ye kaam Dubai ki baldia aur Road and Transport Authority ke taawun se Anjaam diya gaya. One Zabeel project ke design ko kayi inamaat mil chuke hain. 2019 mein tamirat ke maidan mein Jiddat Tarazi Award ke tehat usay saal ka behtareen design award mil chuka hai. Twin towers ko jodnay wala pool 360 ke zawiye se nazreen ko khobsorat manazair dekhnay ka mauqa muhayya kere ga.

Ithra Dubai company ne umeed zahir ki ke Twin towers Dubai mein qabil deed huonge. Usay dekhnay ke liye duniya aaye gi. Ye shopping centers, Aala darjay ke hotels aur tafrehi marakaz ka majmoa hon ge. Twin Towers ki taamer ka kaam programme ke mutabiq 2021 ke mausam sarma mein mukammal hojaye ga. –YTN STAFF