Sunday, May 19, 2024
HomeIndia‫UP‬ ki Open University ne, CAA aur Article 370 se mutaliq course...

‫UP‬ ki Open University ne, CAA aur Article 370 se mutaliq course ka kiya aaghaz

Prayagraj: Riyasat ki wahid Open university, Uttar Pradesh  Rajashri Tandon Open University  ( UPRTOU) ne faisla kiya hai ke, Shehriat tarmeemi Act aur Article 370, 3 mah ke naye Certificate course ke nisaab ka ek hissa hoga. UPRTOU ke taluqaat aama ke afsar Prabhat Mishra ke mutabiq, Naya course 10 January se nafiz ho chukka hai aur dakhelay bhi shuru ho chuke hain. Course ki fees 700 rupiye hai. Dakhela lainay walay talba ki tadaad ki koi had muqarar nahi hai.

Course mein talba ko Article 370 ke khatmay aur shehriat tarmeemi Act ki daf-aat aur is ke mazmirat ki wazahat karenge. Mishra ne kaha ke ”Naojanwanoun ke liye ye zurori hai ke wo mafadaat ke tehat chalaye jaany wali ghalat maloomat ki peechay ki sachaai ko samjhain.

Open university ke Vice chancellor professor Kameshwar Nath Singh ne kaha ”Koyi bhi idaara mulk ke masail aur policies se daur nahi reh sakta. Do sulagtey hue mamlaat CAA aur Article 370 ke talluq se ghalat fehmiya daur karne ki zaroorat hai. University ki ikhlaqi zimma daari hai ke wo dhund kosaf karne ke liye talba o talibat mein shaoor beedar kere.

Unhoun ne kaha ke bedaari course ke liye ahliat, Intermediate hai aur koi bhi is course ke liye online registration kar sakta hai. Ye university mein kisi bhi dosray course ke sath kiya ja sakta hai. UPRTOU, Muashray ke mojooda masail par mabni course  chalata hai. Course ke douran talba ko Stipend diye jayen ge, Jis ki takmeel ke baad un mein certificate  taqseem kiye jayenge. –YTN STAFF