Lacknow: Uttar Pradesh mein muqeem 40,000 ghair muslim ghair qanooni tarkin watan mein se 30,000 se 35,000 sirf zila Pilibhit mein muqeem hain. Markaz ko bhaije gayi Yogi Adityanath hukoomat ki tayyar kardah ek report ke mutabiq, ye bunyadi tor par Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh ke Hindu mahajan hain. Ye muhajreen yahan riyasat ke 19 se ziyada azlaa mein muqeem hain.
Reyasti hukoomat ki tayyar kardah is report ka unwan hai. ”Uttar Pradesh mein aeye Pakistan, Afghanistan Aur Bangladesh ke Sharnarthiyon ki Aap-beeti Kahani “. Is ke ilawa muhajreen ki zaati kahaaniyoun ki tafselaat bhi shaamil hain. Shehriat tarmeemi act ke nifaz ke liye Uttar Pradesh mulk ki pehli riyasat ban gayi hai, Jis ne is ka amal shuru kiya hai.
Guzashta haftay mehakma dakhla ne tamam zilai magistrate se kaha tha ke wo Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se anay walay mahajereen ki nishandahi karen, Jo apne apne ilaqoun mein reh rahay hain aur hukomat ko ek fehrist saump rahay hain.
Mazkorh report mein paaya gaya hai ke UP ke 19 azlaa, Agra, Rae Bareli, Saharanpur, Gorakhpur, Aligarh, Rampur, Muzaffarnagar, Hapur, Mathura, Kanpur, Pratapgarh, Varanasi, Amethi, Jhansi, Bahraich, Lakhimpur Kheri, Lucknow, Meerut aur Pilibhit mein 40,000 ghair muslim ghair qanooni tarkin watan hain. Un mein se taqreeban 30,000 se 35,000 tarkin watan ka sab se bada hissa Pilibhit mein hai.
Zaraye ka kehna hai ke, is rurat mein muhajreen ki tafseelaat aur gawahi di gayi hai, Jis mein un ke halaat ka inkishaaf kiya gaya hai. –YTN STAFF