New Delhi: Hindustani Team ke liye buri khabar hai keh mehdood Overs ke Captain Rohit Sharma zakhmi hone ki wajah se New Zealand ke khilaaf mujawaza One Day aur Test series se bahar ho chukay hain jaissa ke Mount Maungani mein munaqidah panchwen Twenty 20 muqaabla mein wo pindli ke zakham mein mubtala huve hain. Rohit Sharma is muqaabla mein 41 kendoun mai 60 runs score karne ke baad zakhmi hone ki wajah se apni Inning mukammal nahi kar paye they aur un ke aindah muqabloun mein shirkat par sawalia nishaan lag gaya tha.
BCCI ke zaraye ke bamujab Rohit Sharma ka zakham behtar nahi hai aur inhen is takleef se mukammal raahat haasil karne ke liye waqt lagey ga lehaza wo ab dora New Zealand se bahar ho chukay hain. BCCI ke zaraye ne apni shanakht zahir nah karne ki shart par kaha ke Rohit ka ab New Zealand mein kisi bhi muqaabla mein shirkat ka imkaan nahi hain jabkay team 3 One Day aur 2 Test muqabloun ki series khailay gi jabkay One Day series ka aaghaz charshumbe ko ho raha hai.
Rohit ke dora New Zealand se bahar hone ke baad ab mehfooz Opener Mayank Agarwal ko One Day mein mauqa mil sakta hai jabkay Shubman Gill jinhoun ne New Zealand ke khilaaf Double Century score ki hai inhen Test mein mauqa diya ja sakta hai. Sabiq Selection Committee ke sadar MSK Prasad Rohit Sharma ke mutabadil ka elaan karen ge jabkay secretary ki manzoori ke baad mutabadil khiladi ka elaan kiya jaye ga. Test cricket mein tajurbahkar K.L Rahul ki wapsi mumkin hai jabkay Gill aur Prithvi Shaw ke darmain mehfooz opener ke maqam ke liye sakht musabqat rahay gi. Rohit ka zakhmi hona Hindustan ke liye ek bada jhatka hai kyunkay wo 2019 mai tamam tarz ki cricket mein Century ke zareya team ki kamyabi mein kaleedi rule ada kar rahay they. –YTN STAFF