India

Zaira wasim ko mashwara dene waloun mein Kangana Ranauat bhi shaamil

By News Desk Roman Urdu

July 09, 2019

New Delhi : Kam Umar mein shohrat ki bulandi chune wali khoob ro adakarh Zaira wasim ne bollywood ko khair baad kehnay ka jo faisla kiya hai is par aaye din koi nah koi apna khayaal zahir kar raha hai aur ab mutanazia adakara Kangana Ranauat ne bhi Zaira ko mashwara diya hai. adakara Kangana Ranauat ne bollywood chodney wali adakara Zaira wasim ko deegar kamoun mein qismat azmaane ka mashwara diya hai.

Chand din qabal film dangal se shohrat panay wali adakara Zaira wasim ke bollywood chodhney ki khabroun ne industry mein halchal macha di hai. Zaira wasim ki janib se industry chodhney ki wajah se mazhab se doori batayi gayi hai. is par bollywood do hissay mein Butt gaya hai. kuch log Zaira ke faislay ki himayat kar rahay hain jabkay kuch log is faislay ko bachganah qarar dete hue jald baazi ka faisla keh rahay hain.

Pehlay Anupam kher, Ravina tandan ne is faislay par harangi ka izhaar kiya jabkay sidarth malhotrah ne kaha ke is faislay ne hamein hila kar rakh diya hai. adakara Kangana Ranauat bhi Zaira wasim ke bollywood chodhney ke faislay ke baad samnay aagai hain aur kaha ke bollywood aap ki zindagi ko khushiyoun se bhar sakti hai taham agar aap ko lagta hai ke aap ki zindagi khushiyoun se bhari hui hai to phir aap ke paas karne ke kaam aur bhi bohat hain jis se apne khandan aur doston ki madad karen.

Bunyadi zaroorat ke hawalay se koi bhi mazhab aap ko baikhtiar banata hai na ke kamzor karta hai, yeh faisla aap ka hai sab ko is faislay ki qader karni chahiye. Kangana Ranauat is waqt apni anay wali film ”Judgemental hai kiya“ mein masroof hain, is film mein hero ka kirdaar Raj kumar rao kar rahay hain, is film mein adakara kabadi ki khiladi ka kirdaar ada karti nazar ayengii. yeh film 26 July ko cinema gharon ki zeenat banaygi. –YTN STAFF