Birmingham : Na-qabil taskheer hindustani cricket team itwaar ko zafrani libaas mein mezban England ke khilaaf ek high voltage mein muqablay mein maidan sambhalegi. hindustani jo pehlay hi 6 muqablon mein na-qabil-e-shikast rehtay hue Semi final mein apni rusai ke imkanaat ko mustahkam karliya hai to doosri janib english team ko Srilanka aur Australia ke khilaaf honay wali nakamiyoo ke baad Semi final ki raah sang lakh hochuki hai lehaza kal Hindustan ke khilaaf usay muqablay mein ”karo ya maro surat-e-hal“ ka saamna hai .
Chand muqablay qabal England ko world cup khitaab ke liye sab se mazboot dawaydaar tasawwur kiya ja raha tha lekin ek ke baad deegar Srilanka aur Australia ke khilaaf honay wali nakamiyoo ne is ki Semi final hi mein rasai ko sawalia nishaan laga diya hai. Hindustan ke khilaaf shikast ki soorat mein usey world cup se bahar hona padh sakta hai kyunkay fil haal iske paas 7 muqablon mein shirkat ke baad sirf 6 nishanaat hain.
Mezban team apne riwayati neelay rang ke libaas mein muqablay mein shirkat karegi jabkay hindustani team pehli martaba neelay libaas ke bar-aks nai jersey jo ke zafrani rang ki hai, is mein yeh muqaabla kheilaygi. hindustani team ki nai jersey par cricket aur siyasi halqon mein nai behas shuru hogayi hai jaisa ke oppostion ne usay ”Rang Bhagwa“ dainay ki saazish qarar dete hue wazeer-e-azam Narendra Modi par tanqeed bhi ki hai .
english team jo captain Eoin Morgan ki qiyadat mein tareekh ki behtareen ODI team qarar di jarahi hai, jis mein captain ke humrah Joss Butler, Jonny Baristow , Ben Stokes, Jofra archer aur Moeen Ali aisay khiladi hain jo ke team ko jarehana team mein bah aasani tabdeel kardete hain. Birmingham ke maidan mein khailay jarahay is muqablay mein maizban team pehlay hi shadeed dabao ka saamna kar rahi hai jaisa ke Jonny Bairstow ke muzahiron par sabiq captain Michael won, Kevin peterson sawal uthaye hain.
Doosri janib hindustani team ke liye England ko shikast dainay ka yeh behtareen mauqa hai, kyunkay naaqis batting ki wajah se jo do muqablay maizban team ne ganwaye hain, iske baad mezban team par kamyabi ke liye shadeed dabao hai. Morgan jo ke Australia ke khilaaf fast bowler Mitchell starc ke khilaaf batting ke douran league stump ki taraf harkat dainay ko Kevin peterson ne shadeed tanqeed ka nishana banatay hue kaha ke kya english captain fast bowler se dar rahay they.
England jis ne gharelo bahami series ke douran Hindustan ko 2-1 se shikast di thi, lekin is muqablay mein Bumrah zakhmi honay ki wajah se shaamil nahi they. Mohammad Shami jinhon ne do muqablon mein 8 wickten li hain, unhon ne is muqablay ke mutaliq izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke hareef team ki taaqat par tavajja markooz karne ki bajaye apni salahiyaton par etemaad kiya jana ziyada behtar hoga. Hindustan ke liye middle order hunooz tashweesh ka baais hai kyunkay all rounder Vijay Shankar ke alawa jiye dio bhi kuch khaas muzahira nahi kar paye jabke mushkil sorat e haal mein MS Dhoni ki sust raftaar batting bhi tashweesh ka baais hai . –YTN STAFF