New Delhi: Narendra Modi ko Iqtidaar ki kursi se door rakhnay ke liye tamam oppostion partiyon ney apni reyasti awam ke mizaaj aur mahol ke aitbaar se apni apni hikmat-e-amliyan tayyar ki theen jabkay Uttar pardesh mein Samaaj Waadi Party aur Bahuajan Samaaj Party ney apne barson qadeem ikhtilafat ko pas pust daaltay hue ittehaad kiya tha lekin zaat paat ki bunyaad par bana yeh ittehaad BJP aur NDA ke Hindutva agenday ke khilaaf nakaam raha .
Intikhab mein Uttar pradesh mein SP BSP RLD ittehaad ko jis zaat paat ke formulay se kamyabi ki umeed thi woh umeed Bar nahi aayi aur un partiyon ke sabhi formulay nakaam hogaye. Mahagthbandhan January se wujood mein aaya aur kaha gaya ke yeh Uttar pradesh mein BJP ko shikast day kar Iqtidaar mein iski wapsi ki raah rokay ga. nataij ney ittehaad nakaam bana diya hai. Modi aur BJP ke Hindutva aur Rashtravadh ney unke zaat paat walay formulay ko munhadim kar diya .
Apne khandani jhagdon se pareshan samaj wadi party qayadat ney barson purani adawat ko pas pusht daaltay hue BSP se ittehaad kiya. iska formula saaf tha. 40 feesad pasmandah ( OBC ) aur 21 feesad dalit ek sath aakar riyasat mein nai tareekh likhain ge .
2014 ke lok sabha intikhab mein ek bhi nishist nahi jeetnay wali aur 2017 ke assembly intikhab mein mehez 19 nishistain jeetnay wali BSP ko bhi yeh formula jaadoyi nazar aaya aur is ney ittehaad par ittafaq kiya lekin iske baraks BJP ney ghair yadav OBC aur ghair Jatto dalit par apni tavajja markooz ki aur unke sabhi jood toad ko bigaad diya. party ney un zaaton ko apni taraf kheanch kar formulay ko hi badal diya. rahi sahi kasar Wazeer e Azam Narendra Modi ney yeh keh kar zaat paat ki jung ko tibqati jung mein badal diya ke meri zaat ghareeb ki zaat hai. is ke alawa chief minster yogi aadityanath nath ney apne jarehana Hindutva muhim ke zareya bhi zaat paat ki gole bandi ko mazeed kamzor banaya .
Intikhabi nataij ney nah sirf zaat ki siyasat ki taaqat ko munhadim kiya hai balkay ittehaad ke mustaqbil par bhi sawalia nishaan laga diya hai. nataij se yeh pata chal raha hai ke SP aur BSP ek dosray ko apne vote transfer karne mein nakaam rahen aur daliton ke sath OBC ke darmiyan ka kasheeda samaji formula siyasat par bhaari par gaya. BSP ko to phir bhi ittehaad se faida hua nuqsaan party ko hua hai. yadav khandan ke do rukan se dharmindar yadav aur ferozabad se Akshay yadav intikhab haar gaye hain .
BSP aur RLD ke sath ittehaad ka faisla bator-e-party sadar Akhilesh yadav ka tha. Mulaem singh yadav ney is par aitraaz bhi zahir kiya tha. yeh pehla intikhab hai jab Akhilesh ney koi intikhab apne waalid Mulaem Singh yadav ki rahnumai ke baghair lada. Mulaem apne intikhabi halqa mein poori tak hi simte rahay. ab is faisla par sawal uth satke hain aur mustaqbil mein ho sakta hai ke akhilesh ko apni party mein hi diqat ka saamna karna pade. –YTN STAFF