Trending News

Yemen Sanaa mein aasman se roshan patharon ka barish

By News Desk Roman Urdu

August 12, 2020

Sanaa: Yemen ke baghion ke zair qabza dar-al-hukoomat Sanaa mein kayi dinon se jari barish ke baad safai suthrayi ka ek bada operation jari hai. Is ke nateejay mein shehar ke mukhtalif hisson mein selaab ka pani beh gaya, Car ulat gayeen aur dukanon aur market install ko nuqsaan pouncha.

Yemen ke dar-ul-hukoomat Sanaa ke mashriqi muzafaat sameit kayi sobon mein raat ke waqt neelay rang ke roshan pathar girnay par khauf-o-hiraas phail gaya. Media ke mutabiq Yemen mein social media par tasaveer shaya ki gayi hain. Yemen ke mukhtalif sobon mein ajeeb-o-ghareeb roshan pathar zameen par girtay hue nazar aaye jin se poora aasman pur asraar andaaz mein roshan hogaya. Muqami bashinday ye manzar dekh kar khauf zada hogaye.

Logoun ney kaha hai ke ajeeb-o-ghareeb qisam ke ye pathar Sanaa ke muzafaat mein giray aur un ke girnay se zabardast dhamaka huwa. Is ki aawaz daur daur tak suni gayi. Sarfeen ney social media par tasaveer shaya kee aur likha ke ye tasaveer Yemen khasosan dar-ul-hukoomat Sanaa par aasman se girnay walay roshan patharon ki hain. Yemen ke maahir falkiat Mohammad Ayyash ney kaha ke chand lamhoon ke liye Yemen ke shumal maghribi sobon mein baaz ilaqon mein aasman chamakdar phosphorus se roshan hogaya. Darasal fazai ghilaaf se nikalny walay baaz patharon ki wajah se aasman roshan hogaya tha. Yaad rahay ke is qisam ka waqea Yemen mein pehli martaba manzar aam par aaya hai taham is ajeeb-o-ghareeb waqea ke hawalay se mazeed tafseelaat nahi mili hain.