India

Yamuna nadi mein pani khatray ke nishaan se ooper, Delhi mein saelaab ka khatrah

By News Desk Roman Urdu

August 19, 2019

New Delhi : Shumali Hindustan ki baishter riyasatoun mein saelaab ki soorat-e-haal kaafi pareshan kan hai aur ab Haryana ke hathni kund pull se 40 saal baad Yamuna nadi mein sab se ziyada pani chodney jaaney ke baad Delhi mein saelaab ka khatrah paeda hogaya hai aur aabi satah 207 meter tak pohanch jaaney ka andaza hai jis se nashebi ilaqon mein halaat khatarnaak ho saktay hain. pahari ilaqon aur Yamuna nadi ke dairay mein anay walay ilaqon mein guzashta kuch dinon se mosla dhaar barish se hathni kund pull se 8.72 laakh cusec pani chodha gaya hai.

Qaumi dar-ul-hakoomat mein Yamuna nadi par banay lohay ke pull par peer ki subah pani ki satah khatray ke nishaan ko uboor kar gayi jis ke sabab lohay walay pull ko amad wo raft ke liye band kardiya gaya hai. chief minister Arvind kejriwal ne haalat ki sangini ke paish-e-nazar tamam mutaliqa mehakmon ka ijlaas talabb kiya jis mein khatray se nimatnay ke liye kiye jaaney walay iqdamaat par ghour wo khoz kiya jayega.

Khayaal rahay ke lohay walay pull par pani ki satah par khatray ka nishaan 204.50 maters hai aur aaj subah das bajey tak yahan par aabi satah 204.80 meter hogayi. jiski wajah se Yamuna ke aas paas rehne walay awam ko mehfooz muqamat par muntaqil honay ki hidaayat di gayi hai. 12 bajey aabi satah 204.88 meters ko uboor kar gayi hai. Wizarat-e-dakhla ki tarjuman ne tweet karkay kaha ke Yamuna ke hudood mein anay walay ilaqon mein shadeed barish se nadi mein saelaab ka khatrah paeda hogaya hai. tarjuman ke mutabiq shaam 6 bajey tak lohay walay pull par aabi satah 205.33 meter tak pohanch jaaney ka andesha hai. pani ki satah mein musalsal izafah ka andesha zahir karte hue tarjuman ne kaha kay 21 august ko subah pani ki satah 207 meters tak pohanch jaaney ka andaza hai.

1978 mein hathni kund pull se saat laakh cusec pani chodha gaya tha jis se Delhi mein zabardast saelaab aaya tha. Yamuna ke nichale ilaqoun ke alawa model town sameit kayi pesh ilaqay bhi iski zad mein aagaye the.

Yamuna mein mumkina saelaab ke paish-e-nazar intizamia chowkanna hogaya hai. intizamia Yamuna ke aas paas rehne walay awam ko wahan se mehfooz muqamat par muntaqil honay ki hidaayat di hai aur yahan se jaaney walay logon ke liye Yamuna ke kinare par khaimay lagaye gaye hain. taqreeban paanch hazaar logon ko nikala ja chuka hai. intizamia ne 44 kashtiyon ke sath hi 27 ghouta khouron ki teamon ko alag alag tainaat kardiya hai. hukkaam khud mauqa par jaakar halaat ka jaiza le rahay hain jis-se kisi tarhan ki nagehani ko taala jasakay. –YTN STAFF